tumhaare dard se jaage to un kii qadr khulii wagarana pahle bhi apne the jism-o-jaan vahii
Related Sher
teri aankhoñ men jo ik qatra chhupa hai main hooñ jisne chhup chhup ke teraa dard saha hai main hooñ ek patthar ki jise aanch na aayi tu hai ek aaina ki jo toot chuka hai main hooñ
Fauziya Rabab
97 likes
tumhaare baad ye dukh bhi to sahna pad raha hai kisi ke saath majboori men rahna pad raha hai
Ali Zaryoun
131 likes
ab lagta hai theek kaha tha ghalib ne badhte-badhte dard davaa ho jaata hai
Madan Mohan Danish
131 likes
koi atka hua hai pal shaayad vaqt men pad gaya hai bal shaayad dil agar hai to dard bhi hogaa is ka koi nahin hai hal shaayad
Gulzar
60 likes
main na soya raat saari tum kaho bin mere kaise guzaari tum kaho hijr aañsu dard aahen shayari ye to baatein theen hamaari tum kaho
Prakhar Kanha
53 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aslam Emadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Aslam Emadi's sher.







