umr saari laga do naap na paoge kabhi hai jo ye ishq meraa la-mutnaahi thehra
Related Sher
ab in jale hue jismoon pe KHud hi saaya karo tumhein kaha tha bataa kar qareeb aaya karo main uske baad mahinon udaas rehta hooñ mazaak men bhi mujhe haath mat lagaaya karo
Tehzeeb Hafi
295 likes
vo jispar uski rahmat ho vo daulat maangtaa hai kya mohabbat karne vaala dil mohabbat maangte hai kya tumhaara dil kahe jab bhi ujaala ban ke aa jaana kabhi ugta hua suraj izazat maangtaa hai kya
Ankita Singh
98 likes
tumhaare bin guzaari raat ke bas do hi kisse hain kabhi hichki nahin rukti kabhi sisaki nahin rukti
Ankita Singh
87 likes
dilli se ham hi bola karen amn ki boli yaaro tum bhi kabhi lahore se bolo
Rahat Indori
70 likes
us ne saari duniya maangi maine us ko maanga haius ke sapne ek taraf hain meraa sapna ek taraf
Varun Anand
79 likes
More from A R Sahil "Aleeg"
sabhi ke vaaste mumkin nahin hai ishq men yah vo dil jalaae jise dil jalana aata hai
A R Sahil "Aleeg"
0 likes
nikalne ko na jaane dil se jaañ kya kya nahin niklaa nahin niklaa to bas ik ishq aur shahr-e-muzaffarpur
A R Sahil "Aleeg"
0 likes
tasfiya-nafs ko karen haasil har dua par KHuda kahega kun
A R Sahil "Aleeg"
0 likes
kuchh na kuchh mas'ala to hota hai besabab dooriyaan nahin hoti ishq men khwaahishein badaltiin hain is men majbooriyaan nahin hoti
A R Sahil "Aleeg"
0 likes
kisi nujoomi ne ye kaha tha rahoge tanhaa hi ishq men tum ye aur behtar bichhad ke tumne kiya hai pukhta yaqeen meraa
A R Sahil "Aleeg"
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on A R Sahil "Aleeg".
Similar Moods
More moods that pair well with A R Sahil "Aleeg"'s sher.







