use abhii bhi mere dil ke haal ka nahin pata to yaanii us..ko apne ghar ka raasta nahin pata ye teri bhool hai ai mere khush-khyaal ke mujhe paraai auraton se teraa raabta nahin pata
Related Sher
bichhad ga.e to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar KHush hai main KHush nahin hooñ magar dekh kar lagega nahin
Umair Najmi
1244 likes
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui lekin yaqeen sab ko dilaata raha hooñ main
Jaun Elia
839 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jaayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhe achha lagega
Tehzeeb Hafi
751 likes
gale milnaa na milnaa to teri marzi hai lekin tere chehre se lagta hai teraa dil kar raha hai
Tehzeeb Hafi
575 likes
kuchh baat hai ki hasti mitati nahin hamaari sadiyon raha hai dushman daur e zamaan hamaara
Allama Iqbal
354 likes
More from Ruqayyah Maalik
banta to yahii hai ki tujhe munh na lagaaun par tu mujhe pyaara bhi to lagta hai barabar
Ruqayyah Maalik
5 likes
dil ne pahle pehal to us kii kamii tasleem kii phir kahiin aankhoñ ne apni bebasi tasleem kii tujh se milte hi mujhe pahli mohabbat ho gaii aur maine vo mohabbat aakhiri tasleem kii
Ruqayyah Maalik
7 likes
use kaho ki vo khidki se jhaank le ik baar vo dil men rah nahin saktaa to phir nazar men rahe
Ruqayyah Maalik
6 likes
ha men pinjare men par bheje ga.e hain ye tohfe soch kar bheje ga.e hain
Ruqayyah Maalik
7 likes
ik to vo dil dukhaata hai din men hazaar baar u uupar se KHush bhi rehta hai kitna ajeeb hai
Ruqayyah Maalik
40 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ruqayyah Maalik.
Similar Moods
More moods that pair well with Ruqayyah Maalik's sher.







