uske li.e tum ham se bhi lad jaate ho aur kahte ho vo meraa kuchh lagta nahin
Related Sher
tumhein husn par dastaras hai mohabbat wohabbat badaa jaante ho to phir ye batao ki tum us kii aankhoñ ke baare men kya jaante ho ye jugraafiya falsafa psychology science riyaazi waghera ye sab jaanna bhi ahem hai magar us ke ghar ka pata jaante ho
Tehzeeb Hafi
1279 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
bade naadaan ho tum bhi zara samjha karo baatein gale milkar jo roti hai bichhadkar kitna royegi
Ankita Singh
211 likes
vo ladkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse mohabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf
Varun Anand
264 likes
ham apni jaan ke dushman ko apni jaan kahte hain mohabbat ki isee miTTi ko hindustan kahte hain
Rahat Indori
212 likes
More from Ambar
zaraa sii apni baat nahin milne pe tum yuñ roothe ho jaise ulfat thii hi nahin
Ambar
0 likes
tum hi meri har KHushiyon ka kaaran ho tumhaare bin kaise KHush ho saktaa hooñ main
Ambar
0 likes
nahin ab raha mujh men pahle sa kuchh vo daayan teraa dost kha hi gaii
Ambar
0 likes
tumhaara saath pa kar yuñ laga hai mujhe meraa hi saaya mil gaya hai
Ambar
0 likes
ye mat socho keval main hooñ is duniya men sab hi dukhi hain
Ambar
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ambar.
Similar Moods
More moods that pair well with Ambar's sher.







