us hijr pe tohmat ki jise vasl kii zid hous dard pe la'nat kii jo ashaar men aa jaa.e
Related Sher
dard ho dil men to davaa kijeye dil hi jab dard ho to kya kijeye
Mirza Ghalib
97 likes
aaj to dil ke dard par hañs kar dard ka dil dukha diya main ne
Zubair Ali Tabish
110 likes
ye kis ne baagh se us shaKHs ko bula liya hai parind ud ga.e pedon ne munh banaa liya hai use pata tha main choone men vaqt leta hooñ so us ne vasl ka doraaniya badha liya hai
Tehzeeb Hafi
110 likes
teri aankhoñ men jo ik qatra chhupa hai main hooñ jisne chhup chhup ke teraa dard saha hai main hooñ ek patthar ki jise aanch na aayi tu hai ek aaina ki jo toot chuka hai main hooñ
Fauziya Rabab
97 likes
koi atka hua hai pal shaayad vaqt men pad gaya hai bal shaayad dil agar hai to dard bhi hogaa is ka koi nahin hai hal shaayad
Gulzar
60 likes
More from Vipul Kumar
use to daulat-e-duniya bhi kam bhi paane ko miri to zaat ka mizaan bhi ziyaada nahin
Vipul Kumar
18 likes
dil bhi ajeeb khaana-e-wahdat-pasand tha is ghar men ya to tu raha ya bedili rahi us ne to yuñ hi ped banaya tha ret par miTTi vahaañ hazaar baras tak hari rahi
Vipul Kumar
25 likes
main to shab-e-firaq tha tum ek umr thii phir bhi ziyaada tum se guzaara gaya mujhe
Vipul Kumar
27 likes
bacha ke aankh bichhad jaayein us se chupke se abhii to apni taraf dhyaan bhi ziyaada nahin
Vipul Kumar
23 likes
kuchh is li.e bhi teri aarzoo nahin hai mujhe main chahta hooñ meraa ishq jaavedaani ho
Vipul Kumar
28 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Vipul Kumar.
Similar Moods
More moods that pair well with Vipul Kumar's sher.







