vo mere lams se mahtaab ban chuka hota magar mila bhi to jugnoo pakadne waalon ko
Related Sher
dil na-umeed to nahin naakaam hi to hai lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
Faiz Ahmad Faiz
267 likes
mere aañsu nahin tham rahe ki vo mujhse juda ho gaya aur tum kah rahe ho ki chhodo ab aisa bhi kya ho gaya may-kadon men meri lainein padhte firte hain log maine jo kuchh bhi pee kar kaha falsafa ho gaya
Tehzeeb Hafi
388 likes
tum bahut KHush rahogi mere saath vaise har ik ki apni marzi hai
Tehzeeb Hafi
357 likes
tu kisi aur hi duniya men mili thii mujhse tu kisi aur hi mausam ki mahak laai thii dar raha tha ki kahii zakham na bhar jaayen mere aur tu mutthiyaan bhar-bhar ke namak laai thii
Tehzeeb Hafi
331 likes
vo mujh ko chhod ke jis aadmi ke paas gaya baraabari ka bhi hota to sabr aa jaata
Parveen Shakir
107 likes
More from Nomaan Shauque
hamaare khauf se bazaar uchhalte hain jahaan bhar men sisakne se hamaare kaun si sarkaar girti hai
Nomaan Shauque
18 likes
tum to sar dii ki haseen dhoop ka chehra ho jise dekhte rahte hain deewaar se jaate hue ham
Nomaan Shauque
26 likes
aap ki saada-dili se tang aa jaata hooñ main mere dil men rah chuke hain is qadar hushyaar log
Nomaan Shauque
28 likes
ham men jitne raam hain sab banvaas pe hain ham men jitne raavan hain sab raja hain
Nomaan Shauque
38 likes
kis ne hamaare shahar pe maari hai raushni har ik makaan ke zakhm se jaarii hai raushni
Nomaan Shauque
28 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nomaan Shauque.
Similar Moods
More moods that pair well with Nomaan Shauque's sher.







