vaa'da karo ki haath chhudaakar na jaaoge vaa'da karo ki saath janam tak rahega ishq
Related Sher
man men ek iraada hota hai taabish raja pahle pyaada hota hai taabish maanta hooñ majbooriyaan theen kuchh dikkat thii par vaa'da to vaa'da hota hai taabish
Vishal Singh Tabish
75 likes
dushmani jam kar karo lekin ye gunjaish rahe jab kabhi ham dost ho jaayen to sharminda na hon
Bashir Badr
81 likes
khushboo ki barsaat nahin kar paate hain ham KHud hi shuruaat nahin kar paate hain jis ladki ki baatein karte hain sabseus ladki se baat nahin kar paate hain
Gyan Prakash Akul
83 likes
tujhko chhoo kar aur kisi kii chaah rakhen hairat hai aur laanat aise haathon par
Varun Anand
83 likes
insaan apne aap men majboor hai bahut koi nahin hai be-vafa afsos mat karo
Bashir Badr
74 likes
More from Mukesh Jha
ik rivaayat thii nibhaani so nibha dii maine chhod kar jaate hue khoob dua dii maine us ko bas itnaa hi kah paaya ki KHush rahna aur dil kii deewaar se tasveer hata dii maine
Mukesh Jha
7 likes
teraa badan to salaamat rahe magar dil ko mere in ashkon kii baarish ke baad zang lage hai intiqaam se matlab mujhe to rang-e-bahaar ye bad-dua hai meri tu khizaan ka rang lage
Mukesh Jha
2 likes
le raha tha main zindagi ke maze phir vo boli ki ab meri baari
Mukesh Jha
11 likes
jitna tha sab ganwa diya maine ishq bhi dost bhi zamaana bhi
Mukesh Jha
14 likes
itni shohrat to meri aaj bhi is shahar men hai ek patta na hile meri ijaazat ke baghair
Mukesh Jha
39 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mukesh Jha.
Similar Moods
More moods that pair well with Mukesh Jha's sher.







