ye saal bhi udaasiyaan de kar chala gaya tum se mile baghair december chala gaya
Related Sher
koi dikkat nahin hai gar tumhein uljha sa lagta hooñ main pahli martaba milne men sabko aisa lagta hooñ zaroori to nahin ham saath hain to koi chakkar ho vo meri dost hai aur main use bas achha lagta hooñ
Ali Zaryoun
521 likes
uski zulfen udaas ho jaa.e is-qadar roshni bhi theek nahin tumne naaraz hona chhod diya itni naarazgi bhi theek nahin
Fahmi Badayuni
128 likes
tum poochho aur main na bataaun aise to haalaat nahin ek zaraa sa dil toota hai aur to koi baat nahin
Qateel Shifai
125 likes
bade naadaan ho tum bhi zara samjha karo baatein gale milkar jo roti hai bichhadkar kitna royegi
Ankita Singh
211 likes
agar tum ho to ghabraane ki koi baat thodii hai zara si boonda-baan dii hai bahut barsaat thodii hai ye raah-e-ishq hai is men qadam aise hi uthte hain mohabbat sochne waalon ke bas ki baat thodii hai
Abrar Kashif
221 likes
More from Unknown
lagta hai kaii raaton ka jaaga tha musavvir tasveer kii aankhoñ se thakan jhaank rahi hai
Unknown
0 likes
chal diye ghar se to ghar nahin dekha karte jaane waale kabhi mud kar nahin dekha karte seepiyaan kaun kinaare se utha kar bhaaga aisi baate samandar nahin dekha karte
Unknown
25 likes
in ka uthna nahin hai hashr se kam ghar ki deewaar baap ka saaya
Unknown
20 likes
us mulk ki sarhad ko koi choo nahin saka jis mulk ki sarhad ki nigahbaan hain aañkhen
Unknown
30 likes
laja kar sharm kha kar muskuraa kar diya bosa magar munh ko banaa kar
Unknown
30 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Unknown.
Similar Moods
More moods that pair well with Unknown's sher.







