zabaan se apne na ham kahein kuchh na vo kahein kuchh nazar samajh le nazar ki harkat vo shayari hai
Related Sher
kyuuñ darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa
Javed Akhtar
156 likes
main bhi ik shakhs pe ik shart laga baitha tha tum bhi ik roz isee khel men haaroge mujhe eed ke din ki tarah tumne mujhe zaayaa' kiya main samajhta tha muhabbat se guzaaroge mujhe
Ali Zaryoun
129 likes
agar hai ishq saccha to nigaahon se bayaañ hogaa zabaan se bolna bhi kya koi izhaar hota hai
Bhaskar Shukla
130 likes
sair kar duniya ki ghaafil zindagaani phir kahaan zindagi gar kuchh rahi to ye jawaani phir kahaan
Khwaja Meer Dard
127 likes
mere honton pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki is ke baa'd bhi duniya men kuchh paana zaroori hai
Waseem Barelvi
126 likes
More from Talha Lakhnavi
teri har ada hai dilkash teraa husn dilruba hai tujhe jab se maine dekha mujhe ishq ho gaya hai
Talha Lakhnavi
1 likes
tujhe yaad karte karte main ye sochta hooñ akshar teraa hijr bhi na ho to mere paas aur kya hai
Talha Lakhnavi
1 likes
kabhi socha hai tumne kya guzarti hai deewane par ke jab tum zulf bikhra kar nikal aate ho shaane par
Talha Lakhnavi
1 likes
ik taraf husn-e-tabassum ik taraf husn-e-hayaa aur us par jaan leva aapki angdaai hai
Talha Lakhnavi
0 likes
teri taa'riif bataane ko ghazal kahte hain ham kahaan naam kamaane ko ghazal kahte hain
Talha Lakhnavi
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Talha Lakhnavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Talha Lakhnavi's sher.







