zulm mazloomon pe dhaana chhod do haq yatiimon ka dabana chhod do ye nahin kar sakte to behtar hai ye sar ko sajde men jhukaana chhod do
Related Sher
hamesha ik doosre ke haq men dua karenge ye tay hua tha milen ya bichhade magar tumheen se vafaa karenge ye tay hua tha
Shabeena Adeeb
87 likes
tum meri taraf dekhna chhodo to bataaun har shaKHs tumhaari hi taraf dekh raha hai
Waseem Barelvi
91 likes
mujh aisa shaKHs agar qahqahon se bhar jaa.e ye saans letii udaasi to ghut ke mar jaa.e vo mere baad taras jaayega mohabbat ko use ye kehna agar ho sake to mar jaa.e
Rakib Mukhtar
78 likes
na sahm kar na dar ke chhodta hai hans taalaab mar ke chhodta hai vaqt barbaad karne waalon ko vaqt barbaad kar ke chhodta hai
Harman Dinesh
70 likes
bharam rakha hai tere hijr ka varna kya hota hai main rone pe aa jaaun to jharna kya hota hai meraa chhodo main nain thakta meraa kaam yahii hai lekin tumne itne pyaar ka karna kya hota hai
Tehzeeb Hafi
272 likes
More from Shajar Abbas
zindagi se KHush hai koii zindagi se tang hai har kisi ka zindagi jeene ka apna dhang hai maine jo duniya ko samjha to mujhe aaya samajh nisf hai rangeen duniya nisf ye be-rang hai
Shajar Abbas
0 likes
ye furqat ranj gham ruswaai hijrat hijr tanhaaii hain ham par ye sabhi daulat magar ye jee nahin lagta
Shajar Abbas
0 likes
ye kyuuñ zardaar saare dekhkar karte nahin hain gham kisi ke chashm kyuuñ ye dekhkar hote nahin hain nam zamaana ho gaya hamko jawaani dhalne waali hai libaas-e-muflisi bachpan se odhe phir rahe hain ham
Shajar Abbas
0 likes
zindagi ko jo jaana to ye juz mila zindagi dard hai dard hai zindagi
Shajar Abbas
0 likes
ye muhabbat meraa asaasa hai mujhse mat cheen is asaase ko
Shajar Abbas
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shajar Abbas.
Similar Moods
More moods that pair well with Shajar Abbas's sher.







