Poetry Collection

Bekhudi

Ecstasy, or trance, is a state of belonging beyond the limits of consciousness or self-obsession. This s a condition we generally associate with romantic and divine lovers. It also opens up ways to understand the philosophical meaning of human existence. Poets have developed fascinating perspectives on the experience of ecstasy. Here are some examples.

Total

58

Sher

50

Ghazal

8

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

GhazalRead Full

na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki

na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki badi aarzu thi mulaqat ki ujalon ki pariyan nahane lagin nadi gungunai khayalat ki main chup tha to chalti hava ruk gai zaban sab samajhte hain jazbat ki muqaddar miri chashm-e-pur-ab ka barasti hui raat barsat ki kai saal se kuchh khabar hi nahin kahan din guzara kahan raat ki na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki badi aarzu thi mulaqat ki ujalon ki pariyan nahane lagin nadi gungunai khayalat ki main chup tha to chalti hawa ruk gai zaban sab samajhte hain jazbaat ki muqaddar meri chashm-e-pur-ab ka barasti hui raat barsat ki kai sal se kuchh khabar hi nahin kahan din guzara kahan raat ki

GhazalRead Full

mujhe gharaz hai meri jaan ghul machane se

mujhe ghharaz hai miri jaan ghhul machane se na tere aane se matlab na tere jaane se ajiib hai miri fitrat ki aaj hi maslan mujhe sukun mila hai tire na aane se ik ijtihad ka pahlu zarur hai tujh men khushi hui tire na-vaqt muskurane se ye mera josh-e-mohabbat faqat ibarat hai tumhari champai ranon ko noch khane se mohazzab aadmi patlun ke batan to laga ki irtiqa hai ibarat batan lagane se mujhe gharaz hai meri jaan ghul machane se na tere aane se matlab na tere jaane se ajib hai meri fitrat ki aaj hi maslan mujhe sukun mila hai tere na aane se ek ijtihad ka pahlu zarur hai tujh mein khushi hui tere na-waqt muskurane se ye mera josh-e-mohabbat faqat ibarat hai tumhaari champai ranon ko noch khane se mohazzab aadmi patlun ke batan to laga ki irtiqa hai ibarat batan lagane se

GhazalRead Full

mai-kada tha chandni thi main na tha

mai-kada tha chandni thi main na tha ik mujassam be-khudi thi main na tha ishq jab dam todta tha tum na the maut jab sar dhun rahi thi main na tha tuur par chheda tha jis ne aap ko vo miri divangi thi main na tha vo hasin baitha tha jab mere qarib lazzat-e-ham-saegi thi main na tha mai-kade ke mod par rukti hui muddaton ki tishnagi thi main na tha thi haqiqat kuchh miri to is qadar us hasin ki dil-lagi thi main na tha main aur us ghhuncha-dahan ki aarzu aarzu ki sadgi thi main na tha jis ne mah-paron ke dil pighla diye vo to meri shaeri thi main na tha gesuon ke saae men aram-kash sar-barahna zindagi thi main na tha dair o kaaba men 'adam' hairat-farosh do-jahan ki bad-zani thi main na tha mai-kada tha chandni thi main na tha ek mujassam be-khudi thi main na tha ishq jab dam todta tha tum na the maut jab sar dhun rahi thi main na tha tur par chheda tha jis ne aap ko wo meri diwangi thi main na tha wo hasin baitha tha jab mere qarib lazzat-e-ham-saegi thi main na tha mai-kade ke mod par rukti hui muddaton ki tishnagi thi main na tha thi haqiqat kuchh meri to is qadar us hasin ki dil-lagi thi main na tha main aur us ghuncha-dahan ki aarzu aarzu ki sadgi thi main na tha jis ne mah-paron ke dil pighla diye wo to meri shaeri thi main na tha gesuon ke sae mein aaram-kash sar-barahna zindagi thi main na tha dair o kaba mein 'adam' hairat-farosh do-jahan ki bad-zani thi main na tha

GhazalRead Full

ba-qadr-e-paimana-e-takhayyul surur har dil mein hai khudi ka

ba-qadr-e-paimana-e-takhayyul surur har dil men hai khudi ka agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jaae aadmi ka bas ek ehsas-e-na-rasai na josh is men na hosh us ko junun pe halat rubudgi ki khirad pe aalam ghhunudgi ka hai ruuh tarikiyon men hairan bujha hua hai charaghh-e-manzil kahin sar-e-rah ye musafir patak na de bojh zindagi ka khuda ki rahmat pe bhuul baithun yahi na ma'ni hai is ke vaaiz vo abr ka muntazir khada ho makan jalta ho jab kisi ka vo laakh jhukva le sar ko mere magar ye dil ab nahin jhukega ki kibriyai se bhi ziyada mizaj nazuk hai bandagi ka 'jamil' hairat men hai zamana mire taghhazzul ki muflisi par na jazba-e-ijtiba-e-rizvi na kaif 'parvez-shahidi' ka ba-qadr-e-paimana-e-takhayyul surur har dil mein hai khudi ka agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jae aadmi ka bas ek ehsas-e-na-rasai na josh is mein na hosh us ko junun pe haalat rubudgi ki khirad pe aalam ghunudgi ka hai ruh tarikiyon mein hairan bujha hua hai charagh-e-manzil kahin sar-e-rah ye musafir patak na de bojh zindagi ka khuda ki rahmat pe bhul baithun yahi na ma'ni hai is ke waiz wo abr ka muntazir khada ho makan jalta ho jab kisi ka wo lakh jhukwa le sar ko mere magar ye dil ab nahin jhukega ki kibriyai se bhi ziyaada mizaj nazuk hai bandagi ka 'jamil' hairat mein hai zamana mere taghazzul ki muflisi par na jazba-e-ijtiba-e-rizwi na kaif 'parwez-shahidi' ka

GhazalRead Full

dil gham se bhi bezar hai malum nahin kyon

dil ghham se bhi bezar hai maalum nahin kyon ye aish bhi ab yaar hai maalum nahin kyon aalam hama dildar hai maalum nahin kyon jo ghham hai ghham-e-yar hai maalum nahin kyon ab husn bhi kuchh samne aane men hai mohtat ab ishq bhi khuddar hai maalum nahin kyon vo ishq jo har jalva-e-rangin pe fida hai khud apna talabgar hai maalum nahin kyon kuchh roz se vo 'kaif' jo ik gosha-nashin tha rusva sar-e-bazar hai maalum nahin kyon dil gham se bhi bezar hai malum nahin kyon ye aish bhi ab yar hai malum nahin kyon aalam hama dildar hai malum nahin kyon jo gham hai gham-e-yar hai malum nahin kyon ab husn bhi kuchh samne aane mein hai mohtat ab ishq bhi khuddar hai malum nahin kyon wo ishq jo har jalwa-e-rangin pe fida hai khud apna talabgar hai malum nahin kyon kuchh roz se wo 'kaif' jo ek gosha-nashin tha ruswa sar-e-bazar hai malum nahin kyon

GhazalRead Full

shahr-e-be-mehr mein ab rasm-e-wafa yaad nahin

shahr-e-be-mehr men ab rasm-e-vafa yaad nahin kis ko chaha tha yahan kis ka gila yaad nahin baat karne ko taraste hain masiha mere zakhm to yaad hain zakhmon ki dava yaad nahin ham se puchhe koi duniya ki malamat ka 'azab log kya kahte hain ab bahr-e-khuda yaad nahin ham ne duniya ke havadis ko jiya hai aise ab to marne ki bhi ham ko to ada yaad nahin itne sadme hain ki ab hosh nahin hai apna ham ne kya khoya tha kya ham ko mila yaad nahin log kahte hain ki duniya badi rangin hai miyan ham ko to khaak ke zarron ke siva yaad nahin jis ki khatir main zamane se lada tha tanha aaj dekha to use mera pata yaad nahin ab to har haath men patthar hi nazar aata hai kis ne di thi hamen phulon ki qaba yaad nahin log kahte hain ki 'sahil' tira 'alam kya hai be-khudi aisi hai khud apna pata yaad nahin shahr-e-be-mehr mein ab rasm-e-wafa yaad nahin kis ko chaha tha yahan kis ka gila yaad nahin baat karne ko taraste hain masiha mere zakhm to yaad hain zakhmon ki dawa yaad nahin hum se puchhe koi duniya ki malamat ka 'azab log kya kahte hain ab bahr-e-khuda yaad nahin hum ne duniya ke hawadis ko jiya hai aise ab to marne ki bhi hum ko to ada yaad nahin itne sadme hain ki ab hosh nahin hai apna hum ne kya khoya tha kya hum ko mila yaad nahin log kahte hain ki duniya badi rangin hai miyan hum ko to khak ke zarron ke siwa yaad nahin jis ki khatir main zamane se lada tha tanha aaj dekha to use mera pata yaad nahin ab to har hath mein patthar hi nazar aata hai kis ne di thi hamein phulon ki qaba yaad nahin log kahte hain ki 'sahil' tera 'alam kya hai be-khudi aisi hai khud apna pata yaad nahin

You have reached the end.

Explore Similar Collections

Bekhudi FAQs

Bekhudi collection me kya milega?

Bekhudi se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.