apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga
apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga us ko chhota kah ke main kaise bada ho jaunga tum girane men lage the tum ne socha hi nahin main gira to masala ban kar khada ho jaunga mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar rasta roka gaya to qafila ho jaunga saari duniya ki nazar men hai mira ahd-e-vafa ik tire kahne se kya main bevafa ho jaunga apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga us ko chhota kah ke main kaise bada ho jaunga tum girane mein lage the tum ne socha hi nahin main gira to masala ban kar khada ho jaunga mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar rasta roka gaya to qafila ho jaunga sari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-wafa ek tere kahne se kya main bewafa ho jaunga