thik apne talluqat karen
thiik apne ta'alluqat karen ye hi behtar hai aao baat karen guftugu pur-natija-khez rahen sair-hasil muzakarat karen duriyon ka sabab jo ban gae hain duur vo sab tahaffuzat karen hal talab koi masala na rahe sidhe saare mu'amalat karen mil ke ham dhunden mushkilat ka hal na ki paida tanaze'at karen aap kya hain ye dekh lunga main band ye baten vahiyat karen zindagi ke koi ma'ani bhi hon ye nahin bas ki din ko raat karen na pasand us ko munkirat hain sab ye hi achchha hai salihat karen thik apne ta'alluqat karen ye hi behtar hai aao baat karen guftugu pur-natija-khez rahen sair-hasil muzakaraat karen duriyon ka sabab jo ban gae hain dur wo sab tahaffuzat karen hal talab koi masala na rahe sidhe sare mu'amalat karen mil ke hum dhunden mushkilat ka hal na ki paida tanaze'at karen aap kya hain ye dekh lunga main band ye baaten wahiyat karen zindagi ke koi ma'ani bhi hon ye nahin bas ki din ko raat karen na pasand us ko munkiraat hain sab ye hi achchha hai salihat karen