tumhaara hijr mana lun agar ijazat ho
tumhara hijr mana luun agar ijazat ho main dil kisi se laga luun agar ijazat ho tumhare baa'd bhala kya hain vaada-o-paiman bas apna vaqt ganva luun agar ijazat ho tumhare hijr ki shab-ha-e-kar men janan koi charaghh jala luun agar ijazat ho junun vahi hai vahi main magar hai shahr naya yahan bhi shor macha luun agar ijazat ho kise hai khvahish-e-marham-gari magar phir bhi main apne zakhm dikha luun agar ijazat ho tumhari yaad men jiine ki aarzu hai abhi kuchh apna haal sambhalun agar ijazat ho tumhaara hijr mana lun agar ijazat ho main dil kisi se laga lun agar ijazat ho tumhaare ba'd bhala kya hain wada-o-paiman bas apna waqt ganwa lun agar ijazat ho tumhaare hijr ki shab-ha-e-kar mein jaanan koi charagh jala lun agar ijazat ho junun wahi hai wahi main magar hai shahr naya yahan bhi shor macha lun agar ijazat ho kise hai khwahish-e-marham-gari magar phir bhi main apne zakhm dikha lun agar ijazat ho tumhaari yaad mein jine ki aarzu hai abhi kuchh apna haal sambhaalun agar ijazat ho