laut kar wo bhi ghar gaya hoga
laut kar vo bhi ghar gaya hoga ab to paani utar gaya hoga paani paani jo ho raha hai vo paani sar se guzar gaya hoga vus’at-e-qalb kab talak lekin dil hai akhir ko bhar gaya hoga khauf men mubtala jiye kaise dar gaya tha vo mar gaya hoga log ab tak use nahin bhule kaam kuchh aisa kar gaya hoga sab hai us ka kiya dhara par vo mujh pe ilzam dhar gaya hoga dost masruf hain sabhi us ke sochta huun kidhar gaya hoga guzra hoga nazar jhuka ke vo us gali men magar gaya hoga apne ghar men suna hai khush hai vo aur bhi kuchh nikhar gaya hoga laut kar wo bhi ghar gaya hoga ab to pani utar gaya hoga pani pani jo ho raha hai wo pani sar se guzar gaya hoga wus’at-e-qalb kab talak lekin dil hai aakhir ko bhar gaya hoga khauf mein mubtala jiye kaise dar gaya tha wo mar gaya hoga log ab tak use nahin bhule kaam kuchh aisa kar gaya hoga sab hai us ka kiya dhara par wo mujh pe ilzam dhar gaya hoga dost masruf hain sabhi us ke sochta hun kidhar gaya hoga guzra hoga nazar jhuka ke wo us gali mein magar gaya hoga apne ghar mein suna hai khush hai wo aur bhi kuchh nikhar gaya hoga