sab gunah-o-haram chalne do
sab gunah-o-haram chalne do keh rahe hain nizam chalne do zid hai kya vaqt ko badalne ki yunhi sab be-lagam chalne do be-kasi bhuuk aur musibat ka khuub hai ehtimam chalne do ahliyat kya hai meri chhod us ko naam kaafi hai naam chalne do muft marta nahin to rahon men tujh ko dete hain daam chalne do tum ho zahid to jaao sajde men mai-kade men to jaam chalne do tere ajdad ke the aaqa ham khud ko bhi zer-e-dam chalne do haq ko chhodo kitab ko chhodo hukm-e-hakim se kaam chalne do ham jo utre to phir andhera hai so yahi ghham ki shaam chalne do shaah jaega shaah aaega tum rahoge ghhulam chalne do sab gunah-o-haram chalne do keh rahe hain nizam chalne do zid hai kya waqt ko badalne ki yunhi sab be-lagam chalne do be-kasi bhuk aur musibat ka khub hai ehtimam chalne do ahliyat kya hai meri chhod us ko nam kafi hai nam chalne do muft marta nahin to rahon mein tujh ko dete hain dam chalne do tum ho zahid to jao sajde mein mai-kade mein to jam chalne do tere ajdad ke the aaqa hum khud ko bhi zer-e-dam chalne do haq ko chhodo kitab ko chhodo hukm-e-hakim se kaam chalne do hum jo utre to phir andhera hai so yahi gham ki sham chalne do shah jaega shah aaega tum rahoge ghulam chalne do