Poetry Collection

Justice

Justice par curated selection jahan sher, ghazal aur nazm ko readable format me discover kiya ja sakta hai.

Total

4

Sher

1

Ghazal

3

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

GhazalRead Full

alawa mere har ek shakhs nur niklega

'alava mere har ik shakhs nuur niklega main janta huun mira hi qusur niklega ye khuub ham se zamane ne zid lagai hai hua na mera jo us ka zarur niklega khabar mujhe thi ye rasta nahin hai manzil ka guman kab tha ki khud se bhi duur niklega hai rahzanon se ri'ayat ye khaas munsif ki ki qafilon ka hi lut kar qusur niklega isi umiid par ab aur kitni 'umren jiyun ki mera jiina bhi ik din surur niklega 'ilaj dhunda to dhunda 'ajab tabibon ne ye jaan nikle to dil ka futur niklega hazar badlo magar ainon ke bas men nahin ye 'aks mera yunhi chuur chuur niklega nasha hai 'arzi 'abrak' ye chahe jaane ka tumhare dil se bhi jaldi ghhurur niklega 'alawa mere har ek shakhs nur niklega main jaanta hun mera hi qusur niklega ye khub hum se zamane ne zid lagai hai hua na mera jo us ka zarur niklega khabar mujhe thi ye rasta nahin hai manzil ka guman kab tha ki khud se bhi dur niklega hai rahzanon se ri'ayat ye khas munsif ki ki qafilon ka hi lut kar qusur niklega isi umid par ab aur kitni 'umren jiyun ki mera jina bhi ek din surur niklega 'ilaj dhunda to dhunda 'ajab tabibon ne ye jaan nikle to dil ka futur niklega hazar badlo magar aainon ke bas mein nahin ye 'aks mera yunhi chur chur niklega nasha hai 'arzi 'abrak' ye chahe jaane ka tumhaare dil se bhi jaldi ghurur niklega

GhazalRead Full

ab nau-khirad jawan hai uljha junun se

ab nau-khirad javan hai uljha junun se tum ko shikast dega vo 'ilm-o-funun se khulti nahin girah jo lagai ho vaqt ne bach ke guzar saka na koi is fusun se becha zamir ham ne to ik chikh si uthi ye akhri pukar thi dil ke darun se dharti pe zakhm boe the ugte kahan se gul maqtal ko ham ne sincha hai apne hi khuun se zalim kisi bhi daur ka ho bhulta nahin dekho yazid yaad hai kitne qurun se 'saulat' hai koi saaya ki aaseb shahr par sote nahin hain log yahan par sukun se ab nau-khirad jawan hai uljha junun se tum ko shikast dega wo 'ilm-o-funun se khulti nahin girah jo lagai ho waqt ne bach ke guzar saka na koi is fusun se becha zamir hum ne to ek chikh si uthi ye aakhri pukar thi dil ke darun se dharti pe zakhm boe the ugte kahan se gul maqtal ko hum ne sincha hai apne hi khun se zalim kisi bhi daur ka ho bhulta nahin dekho yazid yaad hai kitne qurun se 'saulat' hai koi saya ki aaseb shahr par sote nahin hain log yahan par sukun se

GhazalRead Full

jis din bhi zulm apni hadon se guzar gaya

jis din bhi zulm apni hadon se guzar gaya mazlum ka nasib usi din sanvar gaya tu khush tha mujh ko zulm ki bhatti men jhonk kar sona tha main to aur bhi tap kar nikhar gaya ham hain hamari aankh abhi tak nahin khuli ab to hamare sar se bhi paani guzar gaya zalim ko mere sabr pe kuchh sochna pada khamosh rahna mera bada kaam kar gaya qatil ne ankhon ankhon men munsif se baat ki ilzam mere qatl ka mere hi sar gaya is ke shikasta-hal pe rab ka karam tha ye duniya navazti gai 'mahir' jidhar gaya jis din bhi zulm apni hadon se guzar gaya mazlum ka nasib usi din sanwar gaya tu khush tha mujh ko zulm ki bhatti mein jhonk kar sona tha main to aur bhi tap kar nikhar gaya hum hain hamari aankh abhi tak nahin khuli ab to hamare sar se bhi pani guzar gaya zalim ko mere sabr pe kuchh sochna pada khamosh rahna mera bada kaam kar gaya qatil ne aankhon aankhon mein munsif se baat ki ilzam mere qatl ka mere hi sar gaya is ke shikasta-haal pe rab ka karam tha ye duniya nawazti gai 'mahir' jidhar gaya

You have reached the end.

Explore Similar Collections

Justice FAQs

Justice collection me kya milega?

Justice se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.