zamin ka aakhiri manzar dikhai dene laga
zamin ka akhiri manzar dikhai dene laga main dekhta hua patthar dikhai dene laga vo samne tha to kam kam dikhai deta tha chala gaya to barabar dikhai dene laga nishan-e-hijr bhi hai vasl ki nishaniyon men kahan ka zakhm kahan par dikhai dene laga vo is tarah se mujhe dekhta hua guzra main apne aap ko behtar dikhai dene laga tujhe khabar hi nahin raat moajiza jo hua andhere ko, tujhe chhu kar, dikhai dene laga kuchh itne ghhaur se dekha charaghh jalta hua ki main charaghh ke andar dikhai dene laga pahunch gaya tiri ankhon ke us kinare tak jahan se mujh ko samundar dikhai dene laga zamin ka aakhiri manzar dikhai dene laga main dekhta hua patthar dikhai dene laga wo samne tha to kam kam dikhai deta tha chala gaya to barabar dikhai dene laga nishan-e-hijr bhi hai wasl ki nishaniyon mein kahan ka zakhm kahan par dikhai dene laga wo is tarah se mujhe dekhta hua guzra main apne aap ko behtar dikhai dene laga tujhe khabar hi nahin raat moajiza jo hua andhere ko, tujhe chhu kar, dikhai dene laga kuchh itne ghaur se dekha charagh jalta hua ki main charagh ke andar dikhai dene laga pahunch gaya teri aankhon ke us kinare tak jahan se mujh ko samundar dikhai dene laga