aabaad rahenge veeraane shaadaab raheingi zanjeeren jab tak deewane zinda hain phoolengi falengi zanjeeren aazaa dii ka darwaaza bhi KHud hi kholengi zanjeeren tukde tukde ho jaayeñgi jab had se badhengi zanjeeren jab sab ke lab sil jaayenge haathon se qalam chhin jaayenge baatil se loha lene ka elaan karengi zanjeeren andhon behron kii nagri men yuñ kaun tavajjoh karta hai maahol sunega dekhega jis vaqt bajengi zanjeeren jo zanjeeron se baahar hain azaad unhen bhi mat samjho jab haath katenge zalim ke us vaqt kattengi zanjeeren zanjeeren to kat jaayeñgi haan un ke nishaan rah jaayenge meraa kya hai zalim tujh ko badnaam karengi zanjeeren ye daur bhi hain sayyaa dii ke ye dhang bhi hain jallaa dii ke simtegi sikudengi zanjeeren phailengi falengi zanjeeren le de ke hafeez unse hi thii ummeed-e-wafa deewaanon ko kya hogaa jab deewaanon se naata todenge zanjeeren
Related Ghazal
baithe baithe kaisa dil ghabra jaata hai jaane waalon ka jaana yaad aa jaata hai baat-cheet men jis ki ravaani masal hui ek naam lete men kuchh ruk sa jaata hai hansati-basati raahon ka khush-baash musaafir rozi ki bhatti ka eendhan ban jaata hai daftar mansab dono zehan ko kha lete hain ghar waalon ki qismat men tan rah jaata hai ab is ghar ki aabaa dii mehmaanon par hai koi aa jaa.e to vaqt guzar jaata hai daftar mansab dono zehan ko kha lete hain ghar waalon ki qismat men tan rah jaata hai ab is ghar ki aabaa dii mehmaanon par hai koi aa jaa.e to vaqt guzar jaata hai
Zehra Nigaah
6 likes
jis samt bhi dekhooñ nazar aata hai ki tum ho ai jaan-e-jahaan ye koi tum sa hai ki tum ho ye KHvaab hai KHushboo hai ki jhonka hai ki pal hai ye dhund hai baadal hai ki saaya hai ki tum ho is deed ki saaat men kaii rang hain larzaan main hooñ ki koi aur hai duniya hai ki tum ho dekho ye kisi aur ki aañkhen hain ki meri dekhooñ ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho ye umr-e-gurezaan kahii thehre to ye jaanoon har saans men mujh ko yahii lagta hai ki tum ho har bazm men mauzoo-e-sukhan dil-zadgaan ka ab kaun hai sheerin hai ki leila hai ki tum ho ik dard ka faila hua sehra hai ki main hooñ ik mauj men aaya hua dariyaa hai ki tum ho vo vaqt na aa.e ki dil-e-zaar bhi soche is shahar men tanhaa koi ham sa hai ki tum ho aabaad ham aashufta-saron se nahin maqtal ye rasm abhii shahar men zinda hai ki tum ho ai jaan-e-'faraz itni bhi taufeeq kise thii ham ko gham-e-hasti bhi gawara hai ki tum ho
Ahmad Faraz
10 likes
aap hi kahte the sasta khojie aap hi ab yaar achha khojie jo muhabbat karke bhi aabaad hon ek ladki aur ladka khojie varna rah jaaenge chakkar kaatte kendra tak jaane ka rastaa khojie
Atul K Rai
3 likes
charaagahein nai aabaad hogii magar jo bastiyaan barbaad hogii KHuda miTTi ko phir se hukm dega kaii shaklein nai ijaad hogii abhii mumkin nahin lekin ye hogaa kitaaben sahib-e-aulaad hogii main un aankhoñ ko padhkar sochta hoon ye naz men kis tarah se yaad hogii ye pariyaan phir nahin aayegi milne ye ghazlein phir nahin irshaad hogii main dartaa hoon ali un aadaton se ke jo mujh...ko tumhaare baad hogii
Ali Zaryoun
21 likes
so rahenge ke jaagte rahenge ham tere khwaab dekhte rahenge tu kahii aur hi dhoondhta rahega ham kahii aur hi khile rahenge raahgeeron ne raah badalni hai ped apni jagah khade rahenge sabhi mausam hai dastaras men teri tune chaaha to ham hare rahenge lautna kab hai tune par tujhko aadatan hi pukaarte rahenge tujhko paane men mas'ala ye hai tujhko khone ke vasvase rahenge tu idhar dekh mujhse baate kar yaar chash men to phoote rahenge ek muddat hui hai tujhse mile tu to kahtaa tha raabte rahenge
Tehzeeb Hafi
91 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hafeez Merathi.
Similar Moods
More moods that pair well with Hafeez Merathi's ghazal.







