ghazalKuch Alfaaz

aaj ki raat bhi guzri hai mirii kal ki tarah haath aa.e na sitaare tire aanchal ki tarah haadsa koi to guzra hai yaqeenan yaaro ek sannaata hai mujh men kisi maqtal ki tarah phir na niklaa koi ghar se ki hawa phirti thii sang haathon men uth aa.e kisi paagal ki tarah tu ki dariyaa hai magar mirii tarah pyaasa hai main tere paas chala aaunga baadal ki tarah raat jaltee hui ik aisi chitaa hai jis par teri yaaden hain sulagte hue sandal ki tarah main hooñ ik KHvaab magar jaagti aankhoñ ka ameer aaj bhi log ganwa den na mujhe kal ki tarah

Related Ghazal

vo to achha hai ghazal teraa sahaara hai mujhe warna fikron ne to bas gher ke maara hai mujhe jiski tasveer main kaagaz pe banaa bhi na sakaa usne mehn dii se hatheli pe utaara hai mujhe ghair ke haath se marham mujhe manzoor nahin tum magar zakham bhi de do to gawara hai mujhe

Abrar Kashif

54 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

jaam cigarette kash aur bas kuchh dhuaan aakhirsh aur bas maut tak zindagi ka safar raat-din kashmakash aur bas pee gaya ped aandhi magar gir pada kha ke ghash aur bas zindagi jaltee cigarette hai sirf do-chaar kash aur bas sookhte ped ki lakdiyaan aakhiri peshkash aur bas

Sandeep Thakur

50 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

More from Ameer Qazalbash

fikr-e-ghurbat hai na andesha-e-tanhaai hai zindagi kitne hawadis se guzar aayi hai log jis haal men marne ki dua karte hain main ne us haal men jeene ki qasam khaai hai ham na suqraat na mansoor na iisa lekin jo bhi qaateel hai hamaara hi tamannaai hai zindagi aur hain kitne tire chehre ye bataa tujh se ik umr ki haalaanki shanaasaai hai kaun na-waaqif-e-anjaam-e-tabassum hai ameer mere haalaat pe ye kis ko hañsi aayi hai

Ameer Qazalbash

2 likes

paai har ek raah-guzar par udaasiyaan nikli hui hain kab se safar par udaasiyaan khwaabida shahar jaagne vaala hai laut aao bai thii hui hain shaam se ghar par udaasiyaan main khauf se larzata raha padh nahin sakaa phaili hui theen ek khabar par udaasiyaan suraj ke haath sabz qabaon tak aa ga.e ab hain yahaañ har ek shajar par udaasiyaan apne bhi khatt-o-khaal nigaahon men ab nahin is tarah chha gaii hain nazar par udaasiyaan faila raha hai kaun kabhi sochta hooñ main KHvaabon ke ek ek nagar par udaasiyaan sab log ban ga.e hain agar ajnabi to kya chhod aayengi mujhe mire dar par udaasiyaan

Ameer Qazalbash

0 likes

khauf ban kar ye khayal aata hai akshar mujh ko dasht kar jaayega ik roz samundar mujh ko main saraapa hooñ khabar-naama-e-imroz-e-jahaan kal bhula de na ye duniya kahii padh kar mujh ko har nafs mujh men taghayyur ki hawaaye larzaan murtasim kar na sakaa koi bhi manzar mujh ko apne saahil pe main KHud tishna-dahan baitha hooñ dekh dariyaa ki taraai se nikal kar mujh ko mire saa.e men bhi mujh ko nahin rahne dega mire hi ghar men rakhega koi be-ghar mujh ko kaargar koi bhi tadbeer na hone dega kya muqaddar hai ki le jaayega dar-dar mujh ko kaam aayegi na bedaar-nigaahi bhi ameer KHvaab kah jaayega ik din mira paikar mujh ko

Ameer Qazalbash

0 likes

meri pahchaan hai kya meraa pata de mujh ko koi aaina agar hai to dikha de mujh ko tujh se milta hooñ to akshar ye khayal aata hai is bulan dii se agar koi giraa de mujh ko kab se patthar ki chattaanon men hooñ gumnaam o aseer devataaon ki tarah koi jaga de mujh ko ek aaina sar-e-raah li.e baitha hooñ jurm aisa hai ki har shaKHs saza de mujh ko in andheron men akela hi jaluñga kab tak koi shay tu bhi to khursheed-numa de mujh ko

Ameer Qazalbash

1 likes

daaman pe lahu haath men khanjar na milega mil jaayega phir bhi vo sitamgar na milega patthar li.e haathon men jise dhundh raha hai vo tujh ko tiri zaat se baahar na milega aankhoñ men basa lo ye ubharta hua suraj din dhalne lagega to ye manzar na milega main apne hi ghar men hooñ magar soch raha hooñ kya mujh ko mire ghar men mira ghar na milega guzaro kisi bastii se zaraa bhes badal kar naqshe men tumhein shehr-e-sitmgar na milega

Ameer Qazalbash

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ameer Qazalbash.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ameer Qazalbash's ghazal.