ghazalKuch Alfaaz

aaj ro kar to dikhae koi aisa rona yaad kar ai dil-e-khamosh vo apna rona raqs karna kabhi khvabon ke shabistanon men kabhi yadon ke sutunon se lipatna rona tujh se sikhe koi rone ka saliqa ai abr kahin qatra na girana kahin dariya rona rasm-e-duniya bhi vahi rah-e-tamanna bhi vahi vahi mil baith ke hansna vahi tanha rona ye tira taur samajh men nahin aaya 'mushtaq' kabhi hanste chale jaana kabhi itna rona aaj ro kar to dikhae koi aisa rona yaad kar ai dil-e-khamosh wo apna rona raqs karna kabhi khwabon ke shabistanon mein kabhi yaadon ke sutunon se lipatna rona tujh se sikhe koi rone ka saliqa ai abr kahin qatra na girana kahin dariya rona rasm-e-duniya bhi wahi rah-e-tamanna bhi wahi wahi mil baith ke hansna wahi tanha rona ye tera taur samajh mein nahin aaya 'mushtaq' kabhi hanste chale jaana kabhi itna rona

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

More from Ahmad Mushtaq

ye kaun KHvaab men choo kar chala gaya mire lab pukaarta hooñ to dete nahin sadaa mire lab ye aur baat kisi ke labon talak na ga.e magar qareeb se guzre hain baar-ha mire lab ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai vo jis ke naam se hote na the juda mire lab ab ek umar se guft-o-shunid bhi to nahin hain be-naseeb mire kaan be-nava mire lab ye shaakhsaana-e-wahm-o-gumaan tha shaayad kuja vo samraa-e-baagh-e-talb kuja mire lab

Ahmad Mushtaq

1 likes

ab na bahl sakega dil ab na diye jalaaie ishq-o-hawas hain sab fareb aap se kya chhupaie us ne kaha ki yaad hain rang tulu-e-ishq ke main ne kaha ki chhodije ab unhen bhool jaaie kaise nafees the makaan saaf tha kitna aasmaañ main ne kaha ki vo samaan aaj kahaan se laiye kuchh to suraagh mil sake mausam-e-dard-e-hijr ka sang-e-jamaal-e-yaar par naqsh koi banaaiye koi sharar nahin bacha pichhle baras ki raakh men ham-nafsaan-e-sho'la-khoo aag nayi jalaaie

Ahmad Mushtaq

0 likes

kis jhut-pute ke rang ujaalon men aa ga.e tukde shafaq ke dhoop se gaalon men aa ga.e afsurdagi ki lay bhi tire qahqahon men thii patjhad ke sur bahaar ke jhaalon men aa ga.e ud kar kahaan kahaan se parindon ke qafile na-deeda paaniyon ke khayaalon men aa ga.e husn-e-tamaam the to koi dekhta na tha tum dard ban ke dekhne waalon men aa ga.e kaañte samajh ke ghaas pe chaltaa raha hooñ main qatre tamaam os ke chhaalon men aa ga.e kuchh rat-jage the jin ki zaroorat nahin rahi kuchh KHvaab the jo mere khayaalon men aa ga.e

Ahmad Mushtaq

0 likes

khoon-e-dil se kisht-e-gham ko seenchta rehta hooñ main khaali kaaghaz par lakeeren kheenchta rehta hooñ main aaj se mujh par mukammal ho gaya deen-e-firaq haan tasavvur men bhi ab tujh se juda rehta hooñ main tu dayaar-e-husn hai unchi rahe teri faseel main hooñ darwaaza mohabbat ka khula rehta hooñ main shaam tak kheeche li.e firte hain is duniya ke kaam subh tak farsh-e-nadaamat par pada rehta hooñ main haan kabhi mujh par bhi ho jaata hai mausam ka asar haan kisi din shaaki-e-aab-o-hawaa rehta hooñ main ahl-e-duniya se ta'alluq qat'a hota hi nahin bhool jaane par bhi soorat-aashna rehta hooñ main

Ahmad Mushtaq

0 likes

haath se naapta hooñ dard ki gehraai ko ye naya khel mila hai meri tanhaaii ko tha jo seene men charaagh-e-dil-pur-khun na raha chaatiye baith ke ab sabr o shakebaai ko dil-e-afsurda kisi tarah bahalta hi nahin kya karen aap ki is hausla-afzaai ko KHair badnaam to pahle bhi bahut the lekin tujh se milnaa tha ki par lag ga.e ruswaai ko nigah-e-naaz na milte hue ghabra ham se ham mohabbat nahin kehne ke shanaasaai ko dil hai nairangi-e-ayyaam pe hairaan ab tak itni si baat bhi maaloom nahin bhaai ko

Ahmad Mushtaq

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Mushtaq.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Mushtaq's ghazal.