ghazalKuch Alfaaz

aakhirsh paak ho gaya kissa KHaak tha KHaak ho gaya kissa kha raha hai jane hue apne kitna saffaaq ho gaya kissa ab bacha hoon main aakhiri kirdaar ab khatarnaak ho gaya kissa

Related Ghazal

ek aur shaKHs chhodkar chala gaya to kya hua hamaare saath kaun sa ye pahli martaba hua azl se in hateliyon men hijr ki lakeer thii tumhaara dukh to jaise mere haath men badaa hua mere KHilaaf dushmanon ki saf men hai vo aur main bahut bura lagunga us par teer kheenchta hua

Tehzeeb Hafi

183 likes

umr guzregi imtihaan men kya daagh hi denge mujh ko daan men kya meri har baat be-asar hi rahi naqs hai kuchh mire bayaan men kya mujh ko to koi tokta bhi nahin yahii hota hai khaandaan men kya apni mahroomiyaan chhupaate hain ham ghareebon ki aan-baan men kya KHud ko jaana juda zamaane se aa gaya tha mire gumaan men kya shaam hi se dukaan-e-deed hai band nahin nuksaan tak dukaan men kya ai mire subh-o-shaam-e-dil ki shafaq tu nahaati hai ab bhi baan men kya bolte kyun nahin mire haq men aable pad ga.e zabaan men kya KHaamushi kah rahi hai kaan men kya aa raha hai mire gumaan men kya dil ki aate hain jis ko dhyaan bahut KHud bhi aata hai apne dhyaan men kya vo mile to ye poochna hai mujhe ab bhi hooñ main tiri amaan men kya yuñ jo takta hai aasmaan ko tu koi rehta hai aasmaan men kya hai naseem-e-bahaar gard-aalood KHaak udti hai us makaan men kya ye mujhe chain kyun nahin padta ek hi shaKHs tha jahaan men kya

Jaun Elia

61 likes

bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhein achha lagega main jis koshish se us..ko bhool jaane men laga hooñ zyaada bhi agar lag jaaye to hafta lagega

Tehzeeb Hafi

174 likes

ik hunar hai jo kar gaya hooñ main sab ke dil se utar gaya hooñ main kaise apni hañsi ko zabt karoon sun raha hooñ ki ghar gaya hooñ main kya bataaun ki mar nahin paata jeete-ji jab se mar gaya hooñ main ab hai bas apna saamna dar-pesh har kisi se guzar gaya hooñ main vahii naaz-o-ada vahii ghamze sar-b-sar aap par gaya hooñ main ajab ilzaam hooñ zamaane ka ki yahaañ sab ke sar gaya hooñ main kabhi KHud tak pahunch nahin paaya jab ki waan umr bhar gaya hooñ main tum se jaanaan mila hooñ jis din se be-tarah KHud se dar gaya hooñ main koo-e-jaanaan men sog barpa hai ki achaanak sudhar gaya hooñ main

Jaun Elia

51 likes

mere dil men ye tere siva kaun hai tu nahin hai to teri jagah kaun hai ham mohabbat men haare hue log hain aur mohabbat men jeeta hua kaun hai mere pahluu se uth ke gaya kaun hai tu nahin hai to teri jagah kaun hai tune jaate hue ye bataaya nahin main teraa kaun hooñ tu meraa kaun hai

Tehzeeb Hafi

145 likes

More from Ammar Iqbal

jahal ko aagahi banaate hue mil gaya raushni banaate hue kya qayamat kisi pe guzregi aakhiri aadmi banaate hue kya hua tha zaraa pata to chale vaqt kya tha ghadi banaate hue kaise kaise banaa diye chehre apni be-chehergi banaate hue dasht ki wusaaten badhaati theen meri aawaargi banaate hue us ne naasoor kar liya hogaa zakham ko shaayeri banaate hue

Ammar Iqbal

9 likes

yoonhi be-baal-o-par khade hue hain ham qafas tod kar khade hue hain dasht guzra hai mere kamre se aur deewar-o-dar khade hue hain KHud hi jaane lage the aur KHud hi raasta rok kar khade hue hain aur kitnii ghumaoge duniya ham to sar thaam kar khade hue hain barguzeeda buzurg neem ke ped thak ga.e hain magar khade hue hain muddaton se hazaar-ha aalam ek ummeed par khade hue hain

Ammar Iqbal

1 likes

martaba tha makaam tha meraa roshni par kayaam tha meraa main hi bheja gaya tha pahle bhi tab koi aur naam tha meraa aakhiri waqt aankh khul gaii thii varna kissa tamaam tha meraa

Ammar Iqbal

10 likes

teergii taq men ja dii hui hai dhoop dahleez par pa dii hui hai dil pe naakaamiyon ke hain paivand aas ki soi bhi ga dii hui hai mere jaisi hai meri parchhaaien dhoop men pal ke ye ba dii hui hai gher rakha hai na-rasaai ne aur KHvaahish wahin kha dii hui hai main ne tasveer fenk dii hai magar keel deewaar men ga dii hui hai haarta bhi nahin gham-e-dauraan zid pe ummeed bhi a dii hui hai dil kisi ke khayal men hai gum raat ko KHvaab ki pa dii hui hai

Ammar Iqbal

2 likes

zaraa si der jale jal ke raakh ho jaa.e vo raushni de bhale jal ke raakh ho jaa.e vo aftaab jise sab salaam karte hain jo vaqt par na dhale jal ke raakh ho jaa.e main door ja ke kahii baansuri bajaaunga bala se rom jale jal ke raakh ho jaa.e vo ek lams-e-gurezaan hai aatish-e-be-soz mujhe lagaaye gale jal ke raakh ho jaa.e koi charaaghh bache subh tak to taarikee usii charaaghh-tale jal ke raakh ho jaa.e

Ammar Iqbal

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ammar Iqbal.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ammar Iqbal's ghazal.