aap ki aankh se gahra hai miri ruuh ka zakhm aap kya soch sakenge miri tanhai ko main to dam tod raha tha magar afsurda hayat khud chali aai miri hausla-afzai ko lazzat-e-ghham ke siva teri nigahon ke baghhair kaun samjha hai mire zakhm ki gahrai ko main badhaunga tiri shohrat-e-khush-bu ka nikhar tu dua de mire afsana-e-rusvai ko vo to yuun kahiye ki ik qaus-e-quzah phail gai varna main bhuul gaya tha tiri angdai ko aap ki aankh se gahra hai meri ruh ka zakhm aap kya soch sakenge meri tanhai ko main to dam tod raha tha magar afsurda hayat khud chali aai meri hausla-afzai ko lazzat-e-gham ke siwa teri nigahon ke baghair kaun samjha hai mere zakhm ki gahrai ko main badhaunga teri shohrat-e-khush-bu ka nikhaar tu dua de mere afsana-e-ruswai ko wo to yun kahiye ki ek qaus-e-quzah phail gai warna main bhul gaya tha teri angdai ko
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
More from Mohsin Naqvi
ab vo toofan hai na vo shor hawaon jaisa dil ka aalam hai tere baa'd khalaao jaisa kaash duniya mere ehsaas ko waapas kar de KHaamushi ka vahii andaaz sadaaon jaisa paas rah kar bhi hamesha vo bahut door milaus ka andaaz-e-taghaful tha khudaon jaisa kitnii shiddat se bahaaron ko tha ehsaas-e-ma'aal phool khil kar bhi raha zard khizaaon jaisa kya qayaamat hai ki duniya use sardaar kahe jis ka andaaz-e-sukhan bhi ho gadaaon jaisa phir teri yaad ke mausam ne jagaae mahshar phir mere dil men utha shor hawaon jaisa baarha KHvaab men pa kar mujhe pyaasa mohsinus kii zulfon ne kiya rak's ghataon jaisa
Mohsin Naqvi
1 likes
azaab-e-deed men aañkhen lahu lahu kar ke main sharmasaar hua teri justuju kar ke khandar ki tah se buriida-badan saroon ke siva mila na kuchh bhi khazaano ki aarzoo kar ke suna hai shahar men zakhmi dilon ka mela hai chalenge ham bhi magar pairhan rafu kar ke masafat-e-shab-e-hijraan ke baa'd bhed khula hawa dukhi hai charaaghon ki aabroo kar ke zameen ki pyaas usii ke lahu ko chaat gaii vo KHush hua tha samundar ko aabjoo kar ke ye kis ne ham se lahu ka khiraaj phir maanga abhii to soye the maqtal ko surkh-roo kar ke juloos-e-ahl-e-wafa kis ke dar pe pahuncha hai nishaan-e-tauq-e-wafa zeenat-e-guloo kar ke ujaad rut ko gulaabi banaaye rakhti hai hamaari aankh tiri deed se wuzoo kar ke koi to habs-e-hawaa se ye poochta mohsin mila hai kya use kaliyon ko be-numoo kar ke
Mohsin Naqvi
1 likes
naya hai shahar naye aasre talash karoon tu kho gaya hai kahaan ab tujhe talash karoon jo dasht men bhi jalate the fasl-e-gul ke charaaghh main shahar men bhi vahii aable talash karoon tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar men utar tire li.e main kahaan aaine talash karoon tujhe hawas ki aawaargi ka ilm kahaan kabhi main tujh ko tire saamne talash karoon ghazal kahooñ kabhi saada se khat likhoon us ko udaas dil ke li.e mashghale talash karoon mire vujood se shaayad mile suraagh tira kabhi main KHud ko tire vaaste talash karoon main chup rahoon kabhi be-wajh hañs padhoon mohsin use ganwa ke ajab hausale talash karoon
Mohsin Naqvi
2 likes
jab se us ne shahar ko chhodaa har rastaa sunsaan hua apna kya hai saare shahar ka ik jaisa nuksaan hua ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun vahmon ka soch raha hooñ is nagri men tu kab se mehmaan hua sehra ki munh-zor hawaaein auron se mansoob hui muft men ham aawaara thehre muft men ghar veeraan hua mere haal pe hairat kaisi dard ke tanhaa mausam men patthar bhi ro padte hain insaan to phir insaan hua itni der men ujde dil par kitne mahshar beet ga.e jitni der men tujh ko pa kar khone ka imkaan hua kal tak jis ke gird tha raksaan ik amboh sitaaron ka aaj usii ko tanhaa pa kar main to bahut hairaan hua us ke zakham chhupa kar rakhiye KHud us shaKHs ki nazaron seus se kaisa shikwa kijeye vo to abhii naadaan hua jin ashkon ki feeki lau ko ham be-kaar samjhte the un ashkon se kitna raushan ik tareek makaan hua yuñ bhi kam-aamez tha mohsin vo is shahar ke logon men lekin mere saamne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua
Mohsin Naqvi
0 likes
zabaan rakhta hooñ lekin chup khada hooñ main aawazon ke ban men ghir gaya hooñ mire ghar ka dareecha poochta hai main saara din kahaan firta raha hooñ mujhe mire siva sab log samjhen main apne aap se kam bolta hooñ sitaaron se hasad ki intiha hai main qabron par charaaghaan kar raha hooñ sambhal kar ab hawaon se uljhana main tujh se pesh-tar bujhne laga hooñ mirii qurbat se kyun khaif hai duniya samundar hooñ main KHud men goonjtaa hooñ mujhe kab tak sametega vo mohsin main andar se bahut toota hua hooñ
Mohsin Naqvi
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mohsin Naqvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Mohsin Naqvi's ghazal.







