aate aate mira naam sa rah gaya us ke honton pe kuchh kanpta rah gaya raat mujrim thi daman bacha le gai din gavahon ki saf men khada rah gaya vo mire samne hi gaya aur main raste ki tarah dekhta rah gaya jhuut vaale kahin se kahin badh gae aur main tha ki sach bolta rah gaya andhiyon ke irade to achchhe na the ye diya kaise jalta hua rah gaya us ko kandhon pe le ja rahe hain 'vasim' aur vo jiine ka haq mangta rah gaya aate aate mera nam sa rah gaya us ke honton pe kuchh kanpta rah gaya raat mujrim thi daman bacha le gai din gawahon ki saf mein khada rah gaya wo mere samne hi gaya aur main raste ki tarah dekhta rah gaya jhut wale kahin se kahin badh gae aur main tha ki sach bolta rah gaya aandhiyon ke irade to achchhe na the ye diya kaise jalta hua rah gaya us ko kandhon pe le ja rahe hain 'wasim' aur wo jine ka haq mangta rah gaya
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
More from Waseem Barelvi
vo mujh ko kya bataana chahta hai jo duniya se chhupaana chahta hai mujhe dekho ki main us ko hi chaahoon jise saara zamaana chahta hai qalam karna kahaan hai us ka mansha vo meraa sar jhukaana chahta hai shikaayat ka dhuaan aankhoñ se dil tak ta'alluq toot jaana chahta hai taqaza vaqt ka kuchh bhi ho ye dil vahii qissa puraana chahta hai
Waseem Barelvi
6 likes
andhera zehan ka samt-e-safar jab khone lagta hai kisi ka dhyaan aata hai ujaala hone lagta hai vo jitni door ho utna hi meraa hone lagta hai magar jab paas aata hai to mujh se khone lagta hai kisi ne rakh diye mamta-bhare do haath kya sar par mire andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai mohabbat chaar din ki aur udaasi zindagi bhar ki yahii sab dekhta hai aur kabeera rone lagta hai samjhte hi nahin naadaan kai din ki hai milkiiyyat paraaye kheton pe apnon men jhagda hone lagta hai ye dil bach kar zamaane bhar se chalna chahe hai lekin jab apni raah chaltaa hai akela hone lagta hai
Waseem Barelvi
10 likes
rang be-rang hon KHushboo ka bharosa jaa.e mirii aankhoñ se jo duniya tujhe dekha jaa.e ham ne jis raah ko chhodaa phir use chhod diya ab na jaayenge udhar chahe zamaana jaa.e main ne muddat se koi KHvaab nahin dekha hai haath rakh de mirii aankhoñ pe ki neend aa jaa.e main gunaahon ka taraf-daar nahin hooñ phir bhi raat ko din ki nigaahon se na dekha jaa.e kuchh badi sochon men ye sochen bhi shaamil hain waseem kis bahaane se koi shahar jalaya jaa.e
Waseem Barelvi
1 likes
kahaan savaab kahaan kya azaab hota hai mohabbaton men kab itnaa hisaab hota hai bichhad ke mujh se tum apni kashish na kho dena udaas rahne se chehra KHaraab hota hai use pata hi nahin hai ki pyaar ki baazi jo haar jaa.e vahii kaamyaab hota hai jab us ke paas ganwaane ko kuchh nahin hota to koi aaj ka izzat-maab hota hai jise main likhta hooñ aise ki KHud hi padh paanv kitaab-e-zeest men aisa bhi baab hota hai bahut bharosa na kar lena apni aankhoñ par dikhaai deta hai jo kuchh vo KHvaab hota hai
Waseem Barelvi
2 likes
use samajhne ka koi to raasta nikle main chahta bhi yahii tha vo be-vafa nikle kitaab-e-maazi ke aoraq ult ke dekh zarana jaane kaun sa safha muda hua nikle main tujh se milta to tafseel men nahin jaata mirii taraf se tire dil men jaane kya nikle jo dekhne men bahut hi qareeb lagta hai usii ke baare men socho to fasla nikle tamaam shahar ki aankhoñ men surkh shole hain waseem ghar se ab aise men koi kya nikle
Waseem Barelvi
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Waseem Barelvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Waseem Barelvi's ghazal.







