ghazalKuch Alfaaz

ab ikhtiyar men maujen na ye ravani hai main bah raha huun ki mera vajud paani hai main aur meri tarah tu bhi ik haqiqat hai phir is ke baad jo bachta hai vo kahani hai tire vajud men kuchh hai jo is zamin ka nahin tire khayal ki rangat bhi asmani hai zara bhi dakhl nahin is men in havaon ka hamen to maslahatan apni khaak udani hai ye khvab-gah ye ankhen ye mera ishq-e-qadim har ek chiiz miri zaat men purani hai vo ek din jo tujhe sochne men guzra tha tamam umr usi din ki tarjumani hai navah-e-jan men bhatakti hain khushbuen jis ki vo ek phuul ki lagta hai rat-rani hai iradatan to kahin kuchh nahin hua lekin main ji raha huun ye sanson ki khush-gumani hai ab ikhtiyar mein maujen na ye rawani hai main bah raha hun ki mera wajud pani hai main aur meri tarah tu bhi ek haqiqat hai phir is ke baad jo bachta hai wo kahani hai tere wajud mein kuchh hai jo is zamin ka nahin tere khayal ki rangat bhi aasmani hai zara bhi dakhl nahin is mein in hawaon ka hamein to maslahatan apni khak udani hai ye khwab-gah ye aankhen ye mera ishq-e-qadim har ek chiz meri zat mein purani hai wo ek din jo tujhe sochne mein guzra tha tamam umr usi din ki tarjumani hai nawah-e-jaan mein bhatakti hain khushbuen jis ki wo ek phul ki lagta hai raat-rani hai iradatan to kahin kuchh nahin hua lekin main ji raha hun ye sanson ki khush-gumani hai

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

More from Abhishek Shukla

tujhse waabasta koi gham nahin rakhne waale jis..ko rakhna ho rakhe ham nahin rakhne waale apne uljhe hue baalon ki kasam ham is baar teri agar men koi kham nahin rakhne waale ek hawwa ki muhabbat ke siva seene men aur kuchh hazrat-e-adam nahin rakhne waale

Abhishek shukla

2 likes

lehar ka KHvaab ho ke dekhte hain chal tah-e-ab ho ke dekhte hain us pe itnaa yaqeen hai ham kous ko betaab ho ke dekhte hain raat ko raat ho ke j aanaa tha KHvaab ko KHvaab ho ke dekhte hain apni arzaaniyon ke sadqe ham KHud ko naayaab ho ke dekhte hain sahilon ki nazar men aanaa hai phir to gharqaab ho ke dekhte hain vo jo paayaab kah raha tha hameinus ko sailaab ho ke dekhte hain

Abhishek shukla

1 likes

abhii to aap hi haa'il hai raasta shab ka qareeb aa.e to dekhenge hausla shab ka chali to aayi thii kuchh door saath saath mire phir is ke baad KHuda jaane kya hua shab ka mire khayal ke vahshat-kade men aate hi junoon ki nok se foota hai aablaa shab ka sehar ki pahli kiran ne use bikher diya mujhe sametne aaya tha jab KHuda shab ka zameen pe aa ke sitaaron ne ye kaha mujh se tire qareeb se guzra hai qaafila shab ka sehar ka lams mirii zindagi badha deta magar garaan tha bahut mujh pe kaatna shab ka k abhii k abhii to ye vehshat bhi ham pe guzri hai ki dil ke saath hi dekha hai doobna shab ka chatkh u thii hai rag-e-jaan to ye khayal aaya kisi ki yaad se judta hai silsila shab ka

Abhishek shukla

1 likes

aabroo-e-shab-e-teera nahin rakhne waale ham kahii par bhi andhera nahin rakhne waale aaina rakhne ka ilzaam bhi aaya ham par jab ki ham log to chehra nahin rakhne waale ham pe farhaad ka kuchh qarz nikalta hai so ham tum kaho bhi to ye tesha nahin rakhne waale ham ko maaloom hain az-ru-e-mohabbat so ham koi bhi dard ziyaada nahin rakhne waale

Abhishek shukla

2 likes

dar-e-khayaal bhi khole siyaah shab bhi karen phir us ke baad tujhe sochen ye ghazab bhi karen vo jis ne shaam ke maathe pe haath fera hai ham us charagh-e-hawa-saaz ka adab bhi karen siyahiyaan si bikharna lagii hain seene men ab us sitaara-e-shab-taab ki talab bhi karen ye imtiyaaz zaroori hai ab ibadat men vahii dua jo nazar kar rahi hai lab bhi karen ki jaise KHvaab dikhaana tasalliyaan dena kuchh ek kaam mohabbat men be-sabab bhi karen main jaanta hooñ ki taabeer hi nahin mumkin vo mere KHvaab ki tashreeh chahe jab bhi karen shikast-e-khwaab ki manzil bhi kab nayi hai ha men vahii jo karte chale aayen hain so ab bhi karen

Abhishek shukla

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Abhishek Shukla.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Abhishek Shukla's ghazal.