ghazalKuch Alfaaz

ab ke barish men to ye kar-e-ziyan hona hi tha apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha kis ke bas men tha hava ki vahshaton ko rokna barg-e-gul ko khaak shoale ko dhuan hona hi tha jab koi samt-e-safar tai thi na hadd-e-rahguzar ai mire rah-rau safar to raegan hona hi tha mujh ko rukna tha use jaana tha agle mod tak faisla ye us ke mere darmiyan hona hi tha chand ko chalna tha bahti sipiyon ke saath saath moajiza ye bhi tah-e-ab-e-ravan hona hi tha main nae chehron pe kahta tha nai ghhazlen sada meri is aadat se us ko bad-guman hona hi tha shahr se bahar ki virani basana thi mujhe apni tanhai pe kuchh to mehrban hona hi tha apni ankhen dafn karna thiin ghhubar-e-khak men ye sitam bhi ham pe zer-e-asman hona hi tha be-sada basti ki rasmen thiin yahi 'mohsin' mire main zaban rakhta tha mujh ko be-zaban hona hi tha ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha kis ke bas mein tha hawa ki wahshaton ko rokna barg-e-gul ko khak shoale ko dhuan hona hi tha jab koi samt-e-safar tai thi na hadd-e-rahguzar ai mere rah-rau safar to raegan hona hi tha mujh ko rukna tha use jaana tha agle mod tak faisla ye us ke mere darmiyan hona hi tha chand ko chalna tha bahti sipiyon ke sath sath moajiza ye bhi tah-e-ab-e-rawan hona hi tha main nae chehron pe kahta tha nai ghazlen sada meri is aadat se us ko bad-guman hona hi tha shahr se bahar ki virani basana thi mujhe apni tanhai pe kuchh to mehrban hona hi tha apni aankhen dafn karna thin ghubar-e-khak mein ye sitam bhi hum pe zer-e-asman hona hi tha be-sada basti ki rasmen thin yahi 'mohsin' mere main zaban rakhta tha mujh ko be-zaban hona hi tha

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Mohsin Naqvi

jab se us ne shahar ko chhodaa har rastaa sunsaan hua apna kya hai saare shahar ka ik jaisa nuksaan hua ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun vahmon ka soch raha hooñ is nagri men tu kab se mehmaan hua sehra ki munh-zor hawaaein auron se mansoob hui muft men ham aawaara thehre muft men ghar veeraan hua mere haal pe hairat kaisi dard ke tanhaa mausam men patthar bhi ro padte hain insaan to phir insaan hua itni der men ujde dil par kitne mahshar beet ga.e jitni der men tujh ko pa kar khone ka imkaan hua kal tak jis ke gird tha raksaan ik amboh sitaaron ka aaj usii ko tanhaa pa kar main to bahut hairaan hua us ke zakham chhupa kar rakhiye KHud us shaKHs ki nazaron seus se kaisa shikwa kijeye vo to abhii naadaan hua jin ashkon ki feeki lau ko ham be-kaar samjhte the un ashkon se kitna raushan ik tareek makaan hua yuñ bhi kam-aamez tha mohsin vo is shahar ke logon men lekin mere saamne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua

Mohsin Naqvi

0 likes

naya hai shahar naye aasre talash karoon tu kho gaya hai kahaan ab tujhe talash karoon jo dasht men bhi jalate the fasl-e-gul ke charaaghh main shahar men bhi vahii aable talash karoon tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar men utar tire li.e main kahaan aaine talash karoon tujhe hawas ki aawaargi ka ilm kahaan kabhi main tujh ko tire saamne talash karoon ghazal kahooñ kabhi saada se khat likhoon us ko udaas dil ke li.e mashghale talash karoon mire vujood se shaayad mile suraagh tira kabhi main KHud ko tire vaaste talash karoon main chup rahoon kabhi be-wajh hañs padhoon mohsin use ganwa ke ajab hausale talash karoon

Mohsin Naqvi

2 likes

ab vo toofan hai na vo shor hawaon jaisa dil ka aalam hai tere baa'd khalaao jaisa kaash duniya mere ehsaas ko waapas kar de KHaamushi ka vahii andaaz sadaaon jaisa paas rah kar bhi hamesha vo bahut door milaus ka andaaz-e-taghaful tha khudaon jaisa kitnii shiddat se bahaaron ko tha ehsaas-e-ma'aal phool khil kar bhi raha zard khizaaon jaisa kya qayaamat hai ki duniya use sardaar kahe jis ka andaaz-e-sukhan bhi ho gadaaon jaisa phir teri yaad ke mausam ne jagaae mahshar phir mere dil men utha shor hawaon jaisa baarha KHvaab men pa kar mujhe pyaasa mohsinus kii zulfon ne kiya rak's ghataon jaisa

Mohsin Naqvi

1 likes

main dil pe jabr karunga tujhe bhula dooñga maroonga KHud bhi tujhe bhi kaddi saza dooñga ye teergii mire ghar ka hi kyun muqaddar ho main tere shahar ke saare diye bujha dooñga hawa ka haath bataaunga har tabaahi men hare shajar se parinde main KHud uda dooñga vafaa karunga kisi sogwaar chehre se puraani qabr pe kitaba naya saja dooñga isee khayal men guzri hai shaam-e-dard akshar ki dard had se badhega to muskuraa dooñga tu aasmaan ki soorat hai gar padega kabhi zameen hooñ main bhi magar tujh ko aasraa dooñga badha rahi hain mire dukh nishaaniyaan teri main tere khat tiri tasveer tak jala dooñga bahut dinon se mira dil udaas hai mohsin is aaine ko koi aks ab naya dooñga

Mohsin Naqvi

7 likes

azaab-e-deed men aañkhen lahu lahu kar ke main sharmasaar hua teri justuju kar ke khandar ki tah se buriida-badan saroon ke siva mila na kuchh bhi khazaano ki aarzoo kar ke suna hai shahar men zakhmi dilon ka mela hai chalenge ham bhi magar pairhan rafu kar ke masafat-e-shab-e-hijraan ke baa'd bhed khula hawa dukhi hai charaaghon ki aabroo kar ke zameen ki pyaas usii ke lahu ko chaat gaii vo KHush hua tha samundar ko aabjoo kar ke ye kis ne ham se lahu ka khiraaj phir maanga abhii to soye the maqtal ko surkh-roo kar ke juloos-e-ahl-e-wafa kis ke dar pe pahuncha hai nishaan-e-tauq-e-wafa zeenat-e-guloo kar ke ujaad rut ko gulaabi banaaye rakhti hai hamaari aankh tiri deed se wuzoo kar ke koi to habs-e-hawaa se ye poochta mohsin mila hai kya use kaliyon ko be-numoo kar ke

Mohsin Naqvi

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mohsin Naqvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mohsin Naqvi's ghazal.