ab ke saawan men ye sharaarat mire saath hui meraa ghar chhod ke kul shahar men barsaat hui aap mat poochiye kya ham pe safar men guzri tha luteron ka jahaan gaav wahin raat hui zindagi-bhar to hui guftagoo gairon se magar aaj tak hamse na hamaari mulaqaat hui har galat mod pe toka hai kisi ne mujhko ek awaaz jab se teri mire saath hui maine socha ki mire desh ki haalat kya hai ek kaatil se tabhi meri mulaqaat hui
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
More from Gopaldas Neeraj
jab chale jaayenge laut ke saawan ki tarah yaad aayenge pratham pyaar ke chumban ki tarah zikr jis dam bhi chhida unki gali men meraa jaane sharmaae vo kyun gaanv ki dulhan ki tarah koi kanghi na mili jisse suljh paati vo zindagi uljhi rahi brahma ke darshan ki tarah daagh mujh men hai ki tujh men yah pata tab hogaa maut jab aayegi kapde li.e dhoban ki tarah har kisi shaKHs ki kismat ka yahii hai kissa aa.e raja ki tarah jaa.e vo nirdhan ki tarah jis men insaan ke dil ki na ho dhadkan ki neeraj shayari to hai woh akhbaar ki katran ki tarah
Gopaldas Neeraj
3 likes
badan pe jis ke sharaafat ka pairhan dekha vo aadmi bhi yahaañ ham ne bad-chalan dekha KHareedne ko jise kam thii daulat-e-duniya kisi kabeer ki mut thii men vo ratan dekha mujhe mila hai vahaañ apna hi badan zakhmi kahii jo teer se ghaayal koi hiran dekha badaa na chhota koi farq bas nazar ka hai sabhi pe chalte samay ek sa kafan dekha zabaan hai aur bayaañ aur us ka matlab aur ajeeb aaj ki duniya ka vyaakaran dekha lutere daaku bhi apne pe naaz karne lage unhonne aaj jo santon ka aacharan dekha jo saadgi hai kuhan men hamaare ai neeraj kisi pe aur bhi kya aisa baankpan dekha
Gopaldas Neeraj
8 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Gopaldas Neeraj.
Similar Moods
More moods that pair well with Gopaldas Neeraj's ghazal.







