ghazalKuch Alfaaz

badan pe jis ke sharaafat ka pairhan dekha vo aadmi bhi yahaañ ham ne bad-chalan dekha KHareedne ko jise kam thii daulat-e-duniya kisi kabeer ki mut thii men vo ratan dekha mujhe mila hai vahaañ apna hi badan zakhmi kahii jo teer se ghaayal koi hiran dekha badaa na chhota koi farq bas nazar ka hai sabhi pe chalte samay ek sa kafan dekha zabaan hai aur bayaañ aur us ka matlab aur ajeeb aaj ki duniya ka vyaakaran dekha lutere daaku bhi apne pe naaz karne lage unhonne aaj jo santon ka aacharan dekha jo saadgi hai kuhan men hamaare ai neeraj kisi pe aur bhi kya aisa baankpan dekha

Related Ghazal

agar tu be-vafa hai dhyaan rakhna mujhe sab kuchh pata hai dhyaan rakhna bichhadte waqt hamne kah diya tha hamaara dil dukha hai dhyaan rakhna KHuda jiski mohabbat men banii ho vo kaiyon ka KHuda hai dhyaan rakhna jise tum dost keval jaanti ho vo tumko chahta hai dhyaan rakhna

Anand Raj Singh

54 likes

barson puraana dost mila jaise gair ho dekha ruka jhijhak ke kaha tum umair ho milte hain mushkilon se yahaañ ham-khayaal log tere tamaam chaahne waalon ki KHair ho kamre men cigaretteon ka dhuaan aur teri mahak jaise shadeed dhundh men baagon ki sair ho ham mutmain bahut hain agar KHush nahin bhi hain tum KHush ho kya hua jo hamaare baghair ho pairo'n men uske sar ko dharen iltijaa karen ik iltijaa ki jiska na sar ho na pair ho

Umair Najmi

59 likes

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Gopaldas Neeraj.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Gopaldas Neeraj's ghazal.