ghazalKuch Alfaaz

ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan janan yaad kya tujh ko dilaen tira paiman janan yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai kis qadar jald badal jaate hain insan janan zindagi teri ata thi so tire naam ki hai ham ne jaise bhi basar ki tira ehsan janan dil ye kahta hai ki shayad hai fasurda tu bhi dil ki kya baat karen dil to hai nadan janan avval avval ki mohabbat ke nashe yaad to kar be-piye bhi tira chehra tha gulistan janan akhir akhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin rag-e-mina sulag utthi ki rag-e-jan janan muddaton se yahi aalam na tavaqqo na umiid dil pukare hi chala jaata hai janan janan ham bhi kya saada the ham ne bhi samajh rakkha tha ghham-e-dauran se juda hai ghham-e-janan janan ab ke kuchh aisi saji mahfil-e-yaran janan sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gareban janan har koi apni hi avaz se kaanp uthta hai har koi apne hi saae se hirasan janan jis ko dekho vahi zanjir-ba-pa lagta hai shahr ka shahr hua dakhil-e-zindan janan ab tira zikr bhi shayad hi ghhazal men aae aur se aur hue dard ke unvan janan ham ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijran janan hosh aaya to sabhi khvab the reza reza jaise udte hue auraq-e-pareshan janan ab ke tajdid-e-wafa ka nahin imkan jaanan yaad kya tujh ko dilaen tera paiman jaanan yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai kis qadar jald badal jate hain insan jaanan zindagi teri ata thi so tere nam ki hai hum ne jaise bhi basar ki tera ehsan jaanan dil ye kahta hai ki shayad hai fasurda tu bhi dil ki kya baat karen dil to hai nadan jaanan awwal awwal ki mohabbat ke nashe yaad to kar be-piye bhi tera chehra tha gulistan jaanan aakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin rag-e-mina sulag utthi ki rag-e-jaan jaanan muddaton se yahi aalam na tawaqqo na umid dil pukare hi chala jata hai jaanan jaanan hum bhi kya sada the hum ne bhi samajh rakkha tha gham-e-dauran se juda hai gham-e-jaanan jaanan ab ke kuchh aisi saji mahfil-e-yaran jaanan sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gareban jaanan har koi apni hi aawaz se kanp uthta hai har koi apne hi sae se hirasan jaanan jis ko dekho wahi zanjir-ba-pa lagta hai shahr ka shahr hua dakhil-e-zindan jaanan ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aae aur se aur hue dard ke unwan jaanan hum ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jaanan hosh aaya to sabhi khwab the reza reza jaise udte hue auraq-e-pareshan jaanan

Related Ghazal

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Ahmad Faraz

karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use

Ahmad Faraz

3 likes

vahshatein badhti gaiin hijr ke aazaar ke saath ab to ham baat bhi karte nahin gham-khwaar ke saath ham ne ik umr basar ki hai gham-e-yaar ke saath meer do din na ji.e hijr ke aazaar ke saath ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hain taq par izzat-e-saadaat bhi dastaar ke saath is qadar khauf hai ab shahar ki galiyon men ki log chaap sunte hain to lag jaate hain deewaar ke saath ek to KHvaab li.e firte ho galiyon galiyonus pe takraar bhi karte ho khareedaar ke saath shahar ka shahar hi naaseh ho to kya keejiega warna ham rind to bhir jaate hain do-chaar ke saath ham ko us shahar men ta'aamir ka sauda hai jahaan log men'maar ko chun dete hain deewaar ke saath jo sharf ham ko mila koocha-e-jaanaan se faraaz soo-e-maqtal bhi ga.e hain usii pindaar ke saath

Ahmad Faraz

3 likes

kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin

Ahmad Faraz

6 likes

ajab junoon-e-masaafat men ghar se niklaa tha khabar nahin hai ki suraj kidhar se niklaa tha ye kaun phir se unhin raaston men chhod gaya abhii abhii to azaab-e-safar se niklaa tha ye teer dil men magar be-sabab nahin utara koi to harf lab-e-chaaragar se niklaa tha ye ab jo aag banaa shahar shahar faila hai yahii dhuaan mire deewar-o-dar se niklaa tha main raat toot ke roya to chain se soya ki dil ka zahar mirii chashm-e-tar se niklaa tha ye ab jo sar hain khameeda kulaah ki khaatir ye aib bhi to ham ahl-e-hunr se niklaa tha vo qais ab jise majnoon pukaarte hain faraaz tiri tarah koi deewaana ghar se niklaa tha

Ahmad Faraz

3 likes

us ko juda hue bhi zamaana bahut hua ab kya kahein ye qissa puraana bahut hua ham khuld se nikal to ga.e hain par ai KHuda itne se waqie ka fasana bahut hua ab ham hain aur saare zamaane ki dushmanius se zaraa sa rabt badhaana bahut hua ab kyoon zindagi pe mohabbat ko vaar den is aashiqi men jaan se jaana bahut hua ab tak to dil ka dil se ta'aruf na ho sakaa maana ki us se milnaa milaana bahut hua kya kya na ham KHaraab hue hain magar ye dil ai yaad-e-yaar teraa thikaana bahut hua kahtaa tha naasehon se mire munh na aaiyo phir kya tha ek huu ka bahaana bahut hua lo phir tire labon pe usii be-vafa ka zikr ahmad-'faraz tujh se kaha na bahut hua

Ahmad Faraz

8 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Faraz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.