ghazalKuch Alfaaz

agar ye kah do baghhair mere nahin guzara to main tumhara ya us pe mabni koi ta'assur koi ishara to main tumhara ghhurur-parvar ana ka malik kuchh is tarah ke hain naam mere magar qasam se jo tum ne ik naam bhi pukara to main tumhara tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun baazi agar main jiita to tum ho mere agar main haara to main tumhara tumhara ashiq tumhara mukhlis tumhara sathi tumhara apna raha na in men se koi duniya men jab tumhara to main tumhara tumhara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta huun agar muqaddar ka koi tuuta kabhi sitara to main tumhara ye kis pe taaviz kar rahe ho ye kis ko paane ke hain vazife tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhara agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara ya us pe mabni koi ta'assur koi ishaara to main tumhaara ghurur-parwar ana ka malik kuchh is tarah ke hain nam mere magar qasam se jo tum ne ek nam bhi pukara to main tumhaara tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun bazi agar main jita to tum ho mere agar main haara to main tumhaara tumhaara aashiq tumhaara mukhlis tumhaara sathi tumhaara apna raha na in mein se koi duniya mein jab tumhaara to main tumhaara tumhaara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta hun agar muqaddar ka koi tuta kabhi sitara to main tumhaara ye kis pe tawiz kar rahe ho ye kis ko pane ke hain wazife tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhaara

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

More from Amir Ameer

ye meraa aks jo thehra tiri nigaah men hai nahin hai pyaar to phir kya tiri salaah men hai nahin hai vaqt ki jurat ki choo sake us ko ye teraa husn ki jab tak mirii panaah men hai nazar jo tujh pe ruke to zaraa nahin sunti kahaan savaab men hai ye kahaan gunaah men hai zabaan sanbhaal ke ab naam le raqeeb us ka jo teraa pyaar tha vo ab mire nikaah men hai

Amir Ameer

5 likes

ye laal dibiyaa men jo padi hai vo munh dikhaai padi rahegi jo main bhi rootha to subh tak tu saji sajaai padi rahegi na tu ne pahne jo apne haathon men mirii in ungliyon ke kangan to soch le kitnii sooni sooni tiri kalaaee padi rahegi hamaare ghar se yuñ bhag jaane pe kya banega main sochta hooñ mohalle-bhar men kaii maheenon talak dahaai padi rahegi jahaan pe cup ke kinaare par ek lipstick ka nishaan hogaa wahin pe ik do qadam ki doori pe ek taai padi rahegi har ek khaane se pahle jhagda khilaayega kaun pahle lukma hamaare ghar men to aisi baaton se hi ladai padi rahegi aur ab mithaai ki kya zaroorat main tujh se mil-jul ke ja raha hooñ magar hai afsos tere haathon ki ras malaai padi rahegi mujhe to office ke aath ghanton se hol aata hai soch kar ye hamaare maabain roz barson ki ye judaai padi rahegi jo mirii maano to mere office main koi marzi ki job kar lo ki ham ne kya kaam-waam karna hai kaarvaai padi rahegi hamaare sapne kuchh is tarah se jagaae rakhenge raat saari ki din chadhe tak to mirii baahon men kasmasaai padi rahegi is ek bistar pe aaj koi nayi kahaanii janam na le le agar yuñ hi is pe silvaton se bharii razaai padi rahegi mirii mohabbat ke teen darje hain sahal mushkil ya ghair-mumkin to ek hissa hi jhel paayegi do tihaai padi rahegi

Amir Ameer

7 likes

husn teraa ghuroor meraa tha sach to ye hai qusoor meraa tha raat yuñ tere KHvaab se guzra ki badan choor choor meraa tha aaine men jamaal tha teraa tere chehre pe noor meraa tha aankh ki har zabaan par kal tak bolne men uboor meraa tha us ki baaton men naam meraa na tha zikr bainssootoor meraa tha ek hi vaqt men junoon-o-khirad la-shu'ur-o-shu'ur meraa tha

Amir Ameer

3 likes

pyaar ki har ik rasm ki jo matrook thii main ne jaarii ki ishq-labaada tan par pahna aur mohabbat taari ki main ab shehr-e-ishq men kuchh qaanoon banaane vaala hooñ ab us us ki KHair nahin hai jis jis ne gaddaari ki pahle thodii bahut mohabbat ki ki kaisi hoti hai par jab asli chehra dekha main ne to phir saari ki jo bhi mud kar dekhega vo patthar ka ho jaayega dekho dekho shahar men aa.e sannaata aur taarikee ek janam men main us ka tha ek janam men vo meraa ham ne ki har baar mohabbat lekin baari baari ki ham sa ho to saamne aa.e aadil aur insaaf-pasand dushman ko bhi KHoon rulaaya yaaron se bhi yaari ki aisa pyaar tha ham dono men ki barson la-ilm raheus ne bhi kirdaar nibhaaya main ne bhi fankaari ki baat to itni si hai waapas jaane ko main aaya tha saans uthaai umr sameti chalne ki tayyaari ki

Amir Ameer

4 likes

bajaae koi shehnai mujhe achha nahin lagta mohabbat ka tamaashaai mujhe achha nahin lagta vo jab bichhde the ham to yaad hai garmi ki chhuttiyaan theen tabhi se maah julaai mujhe achha nahin lagta vo sharmaati hai itnaa ki hamesha us ki baaton ka qareeban ek chauthaai mujhe achha nahin lagta na-jaane itni kadvaahat kahaan se aa gaii mujh men kare jo mirii achchaai mujhe achha nahin lagta mire dushman ko itni fauqiyat to hai bahr-soorat ki tu hai us ki hum-saai mujhe achha nahin lagta na itni daad do jis men mirii awaaz dab jaa.e kare jo yuñ paziraai mujhe achha nahin lagta tiri khaatir nazar-andaaz karta hooñ use warna vo jo hai na tira bhaai mujhe achha nahin lagta

Amir Ameer

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Amir Ameer.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Amir Ameer's ghazal.