ye meraa aks jo thehra tiri nigaah men hai nahin hai pyaar to phir kya tiri salaah men hai nahin hai vaqt ki jurat ki choo sake us ko ye teraa husn ki jab tak mirii panaah men hai nazar jo tujh pe ruke to zaraa nahin sunti kahaan savaab men hai ye kahaan gunaah men hai zabaan sanbhaal ke ab naam le raqeeb us ka jo teraa pyaar tha vo ab mire nikaah men hai
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
More from Amir Ameer
husn teraa ghuroor meraa tha sach to ye hai qusoor meraa tha raat yuñ tere KHvaab se guzra ki badan choor choor meraa tha aaine men jamaal tha teraa tere chehre pe noor meraa tha aankh ki har zabaan par kal tak bolne men uboor meraa tha us ki baaton men naam meraa na tha zikr bainssootoor meraa tha ek hi vaqt men junoon-o-khirad la-shu'ur-o-shu'ur meraa tha
Amir Ameer
3 likes
ye laal dibiyaa men jo padi hai vo munh dikhaai padi rahegi jo main bhi rootha to subh tak tu saji sajaai padi rahegi na tu ne pahne jo apne haathon men mirii in ungliyon ke kangan to soch le kitnii sooni sooni tiri kalaaee padi rahegi hamaare ghar se yuñ bhag jaane pe kya banega main sochta hooñ mohalle-bhar men kaii maheenon talak dahaai padi rahegi jahaan pe cup ke kinaare par ek lipstick ka nishaan hogaa wahin pe ik do qadam ki doori pe ek taai padi rahegi har ek khaane se pahle jhagda khilaayega kaun pahle lukma hamaare ghar men to aisi baaton se hi ladai padi rahegi aur ab mithaai ki kya zaroorat main tujh se mil-jul ke ja raha hooñ magar hai afsos tere haathon ki ras malaai padi rahegi mujhe to office ke aath ghanton se hol aata hai soch kar ye hamaare maabain roz barson ki ye judaai padi rahegi jo mirii maano to mere office main koi marzi ki job kar lo ki ham ne kya kaam-waam karna hai kaarvaai padi rahegi hamaare sapne kuchh is tarah se jagaae rakhenge raat saari ki din chadhe tak to mirii baahon men kasmasaai padi rahegi is ek bistar pe aaj koi nayi kahaanii janam na le le agar yuñ hi is pe silvaton se bharii razaai padi rahegi mirii mohabbat ke teen darje hain sahal mushkil ya ghair-mumkin to ek hissa hi jhel paayegi do tihaai padi rahegi
Amir Ameer
7 likes
ishq main ne likh daala qaumiyat ke khaane men aur teraa dil likha shehriyat ke khaane men mujh ko tajarbo ne hi baap ban ke paala hai sochta hooñ kya likhoon valdiyat ke khaane men meraa saath deti hai mere saath rahtii hai main ne likha tanhaaii zaujiyat ke khaane men doston se ja kar jab mashwara kiya to phir main ne kuchh nahin likha haisiyat ke khaane men imtihaan mohabbat ka paas kar liya main ne ab yahii main likhoonga ahliyat ke khaane men jab se aap mere hain fakhr se main likhta hooñ naam aap ka apni milkayat ke khaane men
Amir Ameer
4 likes
pyaar ki har ik rasm ki jo matrook thii main ne jaarii ki ishq-labaada tan par pahna aur mohabbat taari ki main ab shehr-e-ishq men kuchh qaanoon banaane vaala hooñ ab us us ki KHair nahin hai jis jis ne gaddaari ki pahle thodii bahut mohabbat ki ki kaisi hoti hai par jab asli chehra dekha main ne to phir saari ki jo bhi mud kar dekhega vo patthar ka ho jaayega dekho dekho shahar men aa.e sannaata aur taarikee ek janam men main us ka tha ek janam men vo meraa ham ne ki har baar mohabbat lekin baari baari ki ham sa ho to saamne aa.e aadil aur insaaf-pasand dushman ko bhi KHoon rulaaya yaaron se bhi yaari ki aisa pyaar tha ham dono men ki barson la-ilm raheus ne bhi kirdaar nibhaaya main ne bhi fankaari ki baat to itni si hai waapas jaane ko main aaya tha saans uthaai umr sameti chalne ki tayyaari ki
Amir Ameer
4 likes
bajaae koi shehnai mujhe achha nahin lagta mohabbat ka tamaashaai mujhe achha nahin lagta vo jab bichhde the ham to yaad hai garmi ki chhuttiyaan theen tabhi se maah julaai mujhe achha nahin lagta vo sharmaati hai itnaa ki hamesha us ki baaton ka qareeban ek chauthaai mujhe achha nahin lagta na-jaane itni kadvaahat kahaan se aa gaii mujh men kare jo mirii achchaai mujhe achha nahin lagta mire dushman ko itni fauqiyat to hai bahr-soorat ki tu hai us ki hum-saai mujhe achha nahin lagta na itni daad do jis men mirii awaaz dab jaa.e kare jo yuñ paziraai mujhe achha nahin lagta tiri khaatir nazar-andaaz karta hooñ use warna vo jo hai na tira bhaai mujhe achha nahin lagta
Amir Ameer
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Amir Ameer.
Similar Moods
More moods that pair well with Amir Ameer's ghazal.







