agarche zor hawaon ne daal rakha hai magar charaaghh ne lau ko sanbhaal rakha hai mohabbaton men to milnaa hai ya ujad jaana mizaaj-e-ishq men kab e'tidaal rakha hai hawa men nashsha hi nashsha fazaa men rang hi rang ye kis ne pairhan apna uchaal rakha hai bhale dinon ka bharosa hi kya rahen na rahen so main ne rishta-e-gham ko bahaal rakha hai ham aise saada-dilon ko vo dost ho ki KHuda sabhi ne waada-e-farda pe taal rakha hai hisaab-e-lutf-e-hareefaan kiya hai jab to khula ki doston ne ziyaada khayal rakha hai bharii bahaar men ik shaakh par khila hai gulaab ki jaise tu ne hatheli pe gaal rakha hai faraaz ishq ki duniya to KHoob-soorat thii ye kis ne fitna-e-hijr-o-visaal rakha hai
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
vo to achha hai ghazal teraa sahaara hai mujhe warna fikron ne to bas gher ke maara hai mujhe jiski tasveer main kaagaz pe banaa bhi na sakaa usne mehn dii se hatheli pe utaara hai mujhe ghair ke haath se marham mujhe manzoor nahin tum magar zakham bhi de do to gawara hai mujhe
Abrar Kashif
54 likes
tumhaara hijr manaa luun agar ijaazat ho main dil kisi se laga luun agar ijaazat ho tumhaare baad bhala kya hain waada-o-paimaan bas apna waqt ganwa luun agar ijaazat ho tumhaare hijr ki shab haaye car men jaanaan koi chiraag jala luun agar ijaazat ho junoon vahii hai vahii hai magar hai shahar naya yahaañ bhi shor macha luun agar ijaazat ho kise hai khwaahish-e-marham gari magar phir bhi main apne zakham dikha luun agar ijaazat ho tumhaare yaad men jeene ki aarzoo hai abhii kuchh apna haal sambhaaloon agar ijaazat ho
Jaun Elia
45 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
More from Ahmad Faraz
jo gair the vo isee baat par hamaare hue ki ham se dost bahut be-KHabar hamaare hue kise khabar vo mohabbat thii ya raqabat thii bahut se log tujhe dekh kar hamaare hue ab ik hujoom-e-shikasta-dilaan hai saath apne jinhen koi na mila hum-safar hamaare hue kisi ne gham to kisi ne mizaaj-e-gham bakhsha sab apni apni jagah chaaragar hamaare hue bujha ke taq ki shamein na dekh taaron ko isee junoon men to barbaad ghar hamaare hue vo e'timaad kahaan se faraaz laayenge kisi ko chhod ke vo ab agar hamaare hue
Ahmad Faraz
9 likes
dil badan ka shareek-e-haal kahaan hijr phir hijr hai visaal kahaan ishq hai naam intihaaon ka is samundar men etidaal kahaan aisa nashaato zahar men bhi na tha ai gham-e-dil tiri misaal kahaan ham ko bhi apni paayemaali ka hai magar is qadar malaal kaha main nayi dosti ke mod pe tha aa gaya hai tira khayal kaha dil ki khush-fahm tha so hai warna tere milne ka ehtimaal kahaan vasl o hijraanhain aur duniyaayein in zamaanon men maah-o-saal kahaan tujh ko dekha to log hairaanhain aa gaya shahar men ghazaal kahaan tujh pe likkhi to saj gaii hai ghazal aa mila KHvaab se khayal kahaan ab to shah maat ho rahi hai faraaz ab bachaav ki koi chaal kahaan
Ahmad Faraz
1 likes
vahshatein badhti gaiin hijr ke aazaar ke saath ab to ham baat bhi karte nahin gham-khwaar ke saath ham ne ik umr basar ki hai gham-e-yaar ke saath meer do din na ji.e hijr ke aazaar ke saath ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hain taq par izzat-e-saadaat bhi dastaar ke saath is qadar khauf hai ab shahar ki galiyon men ki log chaap sunte hain to lag jaate hain deewaar ke saath ek to KHvaab li.e firte ho galiyon galiyonus pe takraar bhi karte ho khareedaar ke saath shahar ka shahar hi naaseh ho to kya keejiega warna ham rind to bhir jaate hain do-chaar ke saath ham ko us shahar men ta'aamir ka sauda hai jahaan log men'maar ko chun dete hain deewaar ke saath jo sharf ham ko mila koocha-e-jaanaan se faraaz soo-e-maqtal bhi ga.e hain usii pindaar ke saath
Ahmad Faraz
3 likes
awwal awwal ki dosti hai abhii ik ghazal hai ki ho rahi hai abhii main bhi shehr-e-wafa men nau-waarid vo bhi ruk ruk ke chal rahi hai abhii main bhi aisa kahaan ka zood-shanaas vo bhi lagta hai sochti hai abhii dil ki waarftagi hai apni jagah phir bhi kuchh ehtiyaat si hai abhii garche pehla sa ijtinaab nahin phir bhi kam kam supurdagi hai abhii kaisa mausam hai kuchh nahin khulta boonda-baan dii bhi dhoop bhi hai abhii khud-kalaami men kab ye nashsha tha jis tarah roo-b-roo koi hai abhii qurbaten laakh KHoob-soorat hon dooriyon men bhi dilkashi hai abhii fasl-e-gul men bahaar pehla gulaab kis ki zulfon men taankti hai abhii muddatein ho gaiin faraaz magar vo jo deewaangi ki thii hai abhii
Ahmad Faraz
4 likes
karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use
Ahmad Faraz
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Faraz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.







