ai dard-e-ishq tujh se mukarne laga hooñ main mujh ko sambhaal had se guzarne laga hooñ main pahle haqeeqaton hi se matlab tha aur ab ek aadh baat farz bhi karne laga hooñ main har aan tootte ye aqeedon ke silsile lagta hai jaise aaj bikharna laga hooñ main ai chashm-e-yaar meraa sudharna muhaal tha teraa kamaal hai ki sudharne laga hooñ main ye mehr-o-maah arz-o-sama mujh men kho ga.e ik kaayenaat ban ke ubharne laga hooñ main itnon ka pyaar mujh se sambhaala na jaayega logon tumhaare pyaar se darne laga hooñ main dilli kahaan gaiin tire koochon ki raunqen galiyon se sar jhuka ke guzarne laga hooñ main
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
More from Jaan Nisar Akhtar
tamaam umr azaabon ka silsila to raha ye kam nahin ha men jeene ka hausla to raha guzar hi aa.e kisi tarah tere deewane qadam qadam pe koi sakht marhala to raha chalo na ishq hi jeeta na aql haar saki tamaam vaqt maze ka muqaabla to raha main teri zaat men gum ho sakaa na tu mujh men bahut qareeb the ham phir bhi fasla to raha ye aur baat ki har chhed la-ubaali thii tiri nazar ka dilon se moamala to raha
Jaan Nisar Akhtar
1 likes
har ek shaKHs pareshaan-o-dar-badar sa lage ye shahar mujh ko to yaaro koi bhanwar sa lage ab us ke tarz-e-tajaahul ko kya kahe koi vo be-KHabar to nahin phir bhi be-KHabar sa lage har ek gham ko khushi ki tarah bartana hai ye daur vo hai ki jeena bhi ik hunar sa lage nashaat-e-sohbat-e-rindaan bahut ghaneemat hai ki lamha lamha pur-aashob-o-pur-khatr sa lage kise khabar hai ki duniya ka hashr kya hogaa kabhi kabhi to mujhe aadmi se dar sa lage vo tund vaqt ki rau hai ki paanv tik na saken har aadmi koi ukhadta hua shajar sa lage jahaan-e-nau ke mukammal singaar ki khaatir sadi sadi ka zamaana bhi mukhtasar sa lage
Jaan Nisar Akhtar
0 likes
hausla kho na diya teri nahin se ham ne kitnii shiknon ko chuna teri jabeen se ham ne vo bhi kya din the ki deewaana bane firte the sun liya tha tire baare men kahii se ham ne jis jagah pahle-pahl naam tira aata hai dastaan apni sunaai hai wahin se ham ne yuñ to ehsaan haseenon ke uthaaye hain bahut pyaar lekin jo kiya hai to tumheen se ham ne kuchh samajh kar hi KHuda tujh ko kaha hai warna kaun si baat kahii itne yaqeen se ham ne
Jaan Nisar Akhtar
1 likes
zaraa si baat pe har rasm tod aaya tha dil-e-tabah ne bhi kya mizaaj paaya tha guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah abhii to main use pahchaan bhi na paaya tha muaaf kar na saki meri zindagi mujh ko vo ek lamha ki main tujh se tang aaya tha shagufta phool simat kar kali bane jaise kuchh is kamaal se tu ne badan churaaya tha pata nahin ki mire baad un pe kya guzri main chand KHvaab zamaane men chhod aaya tha
Jaan Nisar Akhtar
2 likes
chaunk chaunk uthatii hai mahlon ki fazaa raat ga.e kaun deta hai ye galiyon men sadaa raat ga.e ye haqaaiq ki chataanon se taraashi duniya odh letii hai tilismon ki rida raat ga.e chubh ke rah jaati hai seene men badan ki khushboo khol deta hai koi band-e-qaba raat ga.e aao ham jism ki shamon se ujaala kar len chaand niklaa bhi to niklega zaraa raat ga.e tu na ab aa.e to kya aaj talak aati hai seedhiyon se tire qadmon ki sadaa raat ga.e
Jaan Nisar Akhtar
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaan Nisar Akhtar.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaan Nisar Akhtar's ghazal.







