ajab si aaj-kal main ik pareshaani men hooñ yaaro yahii mushkil mirii hai bas main aasaani men hooñ yaaro mujhe un jheel si aankhoñ men yuñ bhi doobna hi haina poochho baarha kitne men ab paani men hooñ yaaro na soorat vasl ki koi na koi hijr ka gham hai main ab ke baar kuchh aisi hi veeraani men hooñ yaaro mujhe lagta tha mumkin hi nahin hai us ke bin jeena main zinda hooñ magar muddat se hairaani men hooñ yaaro badan ka pairhan chhota mujhe padne laga itnaa main khul kar saans lene ko bhi ur yaanii men hooñ yaaro KHuda ne rakh diya mujh ko usii ke dil men jaane kyunna baahon men hooñ main jis ki na peshaani men hooñ yaaro usii ik aashnaa ko dhoondhti har pal mirii aañkhen main rehta raat-din jis ki nigahbaani men hooñ yaaro
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
More from Vineet Aashna
ya tiri aarzoo sa ho jaaun ya tiri aarzoo ka ho jaaun mire kaanon men jo tu kun kah de main tasavvur sa tira ho jaaun mujh se ik baar zaraa mil aise main tire ghar ka pata ho jaaun tu bhi aa jaana kahii rakh ke badan jism se main bhi juda ho jaaun tod kar maati ye meri phir se yuñ banaao ki naya ho jaaun ishq ki rasm yahii hai baaki main bhi ik baar KHafaa ho jaaun aashnaai hai sukhan-goi bhi aur kitna main bura ho jaaun
Vineet Aashna
0 likes
maana ki meraa jism ye jootha gilaas hai lekin ye dil to aaj bhi kora gilaas hai kitnii hai kaisi may hai yahii baat hai ba dii chaan dii ya kaanch ka sahi rehta gilaas hai kuchh tishnagi bhi rakhni thii jaanaan sanbhaal ke tum ne hifaazaton se jo rakha gilaas hai peene ka lutf hai tabhi jab ye rahe na ilm teraa gilaas hai ki ye meraa gilaas hai qeemat to mirii pyaas ki bhi kam nahin huzoor ye aur baat aap ka mehnga gilaas hai tum ko bhi is jahaan ka aa hi gaya chalan peene ke baad tum ne bhi fenka gilaas hai munh se laga main pee gaya bottle to shor kyuuñ shiddat ki pyaas ko kahaan milta gilaas hai duniya ka main zaroor hooñ par shaam hi talak phir us ke baad to mirii duniya gilaas hai
Vineet Aashna
1 likes
KHud ko sametne men thii itni agar-magar bikhra pada hooñ aaj bhi tere idhar-udhar apni kamii se kah do ki shiddat se to rahe dekho ki rah na jaa.e kahii kuchh kasar-vasar ik roz tum bhi to zaraa KHud se nikal milo tay kar li.e hain main ne to saare safar-wafar nafrat tiri ya pyaar ho gham ho sharaab ho mumkin nahin hai thode men apni guzar-basar tu kya gaii main ho gaya hooñ sakht-jaan maa lagti nahin hai ab to mujhe kuchh nazar-vazar muddat se kuchh bhi to teri chalti nahin KHuda rakha tu kar jahaan ki bhi kuchh khabar-vabar bas ishq ka hai maara to kuchh she'r kah diye warna hai aashna men kahaan kuchh hunar-vunar
Vineet Aashna
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Vineet Aashna.
Similar Moods
More moods that pair well with Vineet Aashna's ghazal.







