ghazalKuch Alfaaz

ya tiri aarzoo sa ho jaaun ya tiri aarzoo ka ho jaaun mire kaanon men jo tu kun kah de main tasavvur sa tira ho jaaun mujh se ik baar zaraa mil aise main tire ghar ka pata ho jaaun tu bhi aa jaana kahii rakh ke badan jism se main bhi juda ho jaaun tod kar maati ye meri phir se yuñ banaao ki naya ho jaaun ishq ki rasm yahii hai baaki main bhi ik baar KHafaa ho jaaun aashnaai hai sukhan-goi bhi aur kitna main bura ho jaaun

Related Ghazal

thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye

Tehzeeb Hafi

262 likes

aankhoñ men raha dil men utar kar nahin dekha kashtii ke musaafir ne samundar nahin dekha be-waqt agar jaaunga sab chaunk padenge ik umr hui din men kabhi ghar nahin dekha jis din se chala hooñ mirii manzil pe nazar hai aankhoñ ne kabhi meel ka patthar nahin dekha ye phool mujhe koi viraasat men mile hain tum ne mira kaanton bhara bistar nahin dekha yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine phoolon men chhupaaya hua khanjar nahin dekha mahboob ka ghar ho ki buzurgon ki zameenen jo chhod diya phir use mud kar nahin dekha khat aisa likha hai ki nageene se jade hain vo haath ki jis ne koi zevar nahin dekha patthar mujhe kahtaa hai mira chaahne vaala main mom hooñ us ne mujhe choo kar nahin dekha

Bashir Badr

38 likes

bulaati hai magar jaane ka nahin ye duniya hai idhar jaane ka nahin mere bete kisi se ishq kar magar had se guzar jaane ka nahin zameen bhi sar pe rakhni ho to rakho chale ho to thehar jaane ka nahin sitaare noch kar le jaaunga main khaali haath ghar jaane ka nahin vaba phaili hui hai har taraf abhii maahol mar jaane ka nahin vo gardan naapta hai naap le magar zaalim se dar jaane ka nahin

Rahat Indori

59 likes

aap jaison ke li.e is men rakha kuchh bhi nahin lekin aisa to na kahiye ki vafaa kuchh bhi nahin aap kahiye to nibhaate chale jaayenge magar is ta'alluq men aziyyat ke siva kuchh bhi nahin main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar saka ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin kaise jaana hai kahaan jaana hai kyun jaana hai ham ki chalte chale jaate hain pata kuchh bhi nahin haaye is shahar ki raunaq ke main sadqe jaaun aisi bharpoor hai jaise ki hua kuchh bhi nahin phir koi taaza sukhun dil men jagah karta hai jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhoon maan leta hooñ ki us shaKHs men tha kuchh bhi nahin main ne duniya se alag rah ke bhi dekha javvaad aisi munh-zor udaasi ki davaa kuchh bhi nahin

Jawwad Sheikh

50 likes

har ek baat pe kahte ho tum ki tu kya hai tumheen kaho ki ye andaaz-e-guftugu kya hai na shole men ye karishma na barq men ye ada koi batao ki vo shokh-e-tund-khoo kya hai ye rashk hai ki vo hota hai hum-sukhan tum se vagarna khauf-e-bad-aamoozi-e-adu kya hai chipak raha hai badan par lahu se pairaahan hamaare jaib ko ab haajat-e-rafu kya hai jala hai jism jahaan dil bhi jal gaya hogaa kuredte ho jo ab raakh justuju kya hai ragon men daudte firne ke ham nahin qaail jab aankh hi se na tapka to phir lahu kya hai vo cheez jis ke li.e ham ko ho behisht aziz sivaae baada-e-gulfaam-e-mushk-boo kya hai piyuun sharaab agar khum bhi dekh luun do-chaar ye sheesha o qadah o kuzaa o suboo kya hai rahi na taqat-e-guftaar aur agar ho bhi to kis umeed pe kahiye ki aarzoo kya hai hua hai shah ka musahib phire hai itraata vagarna shahar men ghalib ki aabroo kya hai

Mirza Ghalib

32 likes

More from Vineet Aashna

maana ki meraa jism ye jootha gilaas hai lekin ye dil to aaj bhi kora gilaas hai kitnii hai kaisi may hai yahii baat hai ba dii chaan dii ya kaanch ka sahi rehta gilaas hai kuchh tishnagi bhi rakhni thii jaanaan sanbhaal ke tum ne hifaazaton se jo rakha gilaas hai peene ka lutf hai tabhi jab ye rahe na ilm teraa gilaas hai ki ye meraa gilaas hai qeemat to mirii pyaas ki bhi kam nahin huzoor ye aur baat aap ka mehnga gilaas hai tum ko bhi is jahaan ka aa hi gaya chalan peene ke baad tum ne bhi fenka gilaas hai munh se laga main pee gaya bottle to shor kyuuñ shiddat ki pyaas ko kahaan milta gilaas hai duniya ka main zaroor hooñ par shaam hi talak phir us ke baad to mirii duniya gilaas hai

Vineet Aashna

1 likes

KHud ko sametne men thii itni agar-magar bikhra pada hooñ aaj bhi tere idhar-udhar apni kamii se kah do ki shiddat se to rahe dekho ki rah na jaa.e kahii kuchh kasar-vasar ik roz tum bhi to zaraa KHud se nikal milo tay kar li.e hain main ne to saare safar-wafar nafrat tiri ya pyaar ho gham ho sharaab ho mumkin nahin hai thode men apni guzar-basar tu kya gaii main ho gaya hooñ sakht-jaan maa lagti nahin hai ab to mujhe kuchh nazar-vazar muddat se kuchh bhi to teri chalti nahin KHuda rakha tu kar jahaan ki bhi kuchh khabar-vabar bas ishq ka hai maara to kuchh she'r kah diye warna hai aashna men kahaan kuchh hunar-vunar

Vineet Aashna

3 likes

ajab si aaj-kal main ik pareshaani men hooñ yaaro yahii mushkil mirii hai bas main aasaani men hooñ yaaro mujhe un jheel si aankhoñ men yuñ bhi doobna hi haina poochho baarha kitne men ab paani men hooñ yaaro na soorat vasl ki koi na koi hijr ka gham hai main ab ke baar kuchh aisi hi veeraani men hooñ yaaro mujhe lagta tha mumkin hi nahin hai us ke bin jeena main zinda hooñ magar muddat se hairaani men hooñ yaaro badan ka pairhan chhota mujhe padne laga itnaa main khul kar saans lene ko bhi ur yaanii men hooñ yaaro KHuda ne rakh diya mujh ko usii ke dil men jaane kyunna baahon men hooñ main jis ki na peshaani men hooñ yaaro usii ik aashnaa ko dhoondhti har pal mirii aañkhen main rehta raat-din jis ki nigahbaani men hooñ yaaro

Vineet Aashna

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Vineet Aashna.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Vineet Aashna's ghazal.