ghazalKuch Alfaaz

bulaati hai magar jaane ka nahin ye duniya hai idhar jaane ka nahin mere bete kisi se ishq kar magar had se guzar jaane ka nahin zameen bhi sar pe rakhni ho to rakho chale ho to thehar jaane ka nahin sitaare noch kar le jaaunga main khaali haath ghar jaane ka nahin vaba phaili hui hai har taraf abhii maahol mar jaane ka nahin vo gardan naapta hai naap le magar zaalim se dar jaane ka nahin

Rahat Indori59 Likes

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Rahat Indori

ise saamaan-e-safar jaan ye jugnoo rakh le raah men teergii hogii mire aañsu rakh le tu jo chahe to tira jhooth bhi bik saka hai shart itni hai ki sone ki taraazu rakh le vo koi jism nahin hai ki use choo bhi saken haan agar naam hi rakhna hai to khushboo rakh le tujh ko an-dekhi bulan dii men safar karna hai ehtiyaatan mirii himmat mire baazu rakh le mirii KHvaahish hai ki aangan men na deewaar uthe mire bhaai mire hisse ki zameen tu rakh le

Rahat Indori

0 likes

mere kaarobaar men sab ne badi imdaad ki daad logon ki gala apna ghazal ustaad ki apni saansen bech kar main ne jise aabaad ki vo gali jannat to ab bhi hai magar shaddaad ki umr bhar chalte rahe aankhoñ pe patti baandh kar zindagi ko dhoondhne men zindagi barbaad ki dastaanon ke sabhi kirdaar kam hone lage aaj kaaghaz chuntee phirti hai pari baghdaad ki ik sulagta cheekhta maahol hai aur kuchh nahin baat karte ho yagaana kis ameenabad ki

Rahat Indori

18 likes

faisley lamhaat ke naslon pe bhari ho ga.e baap haakim tha magar bete bhikaari ho ga.e deviyaan puhunchiin theen apne baal bikhraaye hue devta mandir se nikle aur pu jaarii ho ga.e raushni ki jang men taariqiyaan paida hui chaand paagal ho gaya taare bhikaari ho ga.e rakh diye jaayenge neze lafz aur honton ke beech zill-e-subhaani ke ahkaamaat jaarii ho ga.e narm-o-naazuk halke-phulke rooi jaise KHvaab the aañsuon men bheegne ke baa'd bhari ho ga.e

Rahat Indori

2 likes

shajar hain ab samar-aasaar mere chale aate hain daavedaar mere muhaajir hain na ab ansaar mere mukhalif hain bahut is baar mere yahaañ ik boond ka muhtaaj hooñ main samundar hain samundar paar mere abhii murdon men roohen phoonk daalen agar chahein to ye beemaar mere hawaaein odh kar soya tha dushman ga.e bekar saare vaar mere main aa kar dushmanon men bas gaya hooñ yahaañ hamdard hain do-chaar mere hañsi men taal dena tha mujhe bhi KHataa kyun ho ga.e sarkaar mere tasavvur men na jaane kaun aaya mahak utthe dar-o-deewar mere tumhaara naam duniya jaanti hai bahut rusva hain ab ashaar mere bhanwar men ruk gaii hai naav meri kinaare rah ga.e is paar mere main KHud apni hifazat kar raha hooñ abhii soye hain pahre-daar mere

Rahat Indori

4 likes

kaali raaton ko bhi rangeen kaha hai main ne teri har baat pe aameen kaha hai main ne teri dastaar pe tanqeed ki himmat to nahin apni paa-posh ko qaaleen kaha hai main ne maslahat kahiye use ya ki siyaasat kahiye cheel kawwon ko bhi shaheen kaha hai main ne zaa'iqe baarha aankhoñ men mazaa dete hain baaz chehron ko bhi namkeen kaha hai main ne tu ne fan ki nahin shajre ki himayat ki hai tere ezaaz ko tauheen kaha hai main ne

Rahat Indori

8 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rahat Indori.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rahat Indori's ghazal.