har ek baat pe kahte ho tum ki tu kya hai tumheen kaho ki ye andaaz-e-guftugu kya hai na shole men ye karishma na barq men ye ada koi batao ki vo shokh-e-tund-khoo kya hai ye rashk hai ki vo hota hai hum-sukhan tum se vagarna khauf-e-bad-aamoozi-e-adu kya hai chipak raha hai badan par lahu se pairaahan hamaare jaib ko ab haajat-e-rafu kya hai jala hai jism jahaan dil bhi jal gaya hogaa kuredte ho jo ab raakh justuju kya hai ragon men daudte firne ke ham nahin qaail jab aankh hi se na tapka to phir lahu kya hai vo cheez jis ke li.e ham ko ho behisht aziz sivaae baada-e-gulfaam-e-mushk-boo kya hai piyuun sharaab agar khum bhi dekh luun do-chaar ye sheesha o qadah o kuzaa o suboo kya hai rahi na taqat-e-guftaar aur agar ho bhi to kis umeed pe kahiye ki aarzoo kya hai hua hai shah ka musahib phire hai itraata vagarna shahar men ghalib ki aabroo kya hai
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
More from Mirza Ghalib
raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki
Mirza Ghalib
0 likes
juz qais aur koi na aaya b-roo-e-kaar sehra magar b-tangi-e-chashm-e-hasood tha aashuftagi ne naqsh-e-suweida kiya durust zaahir hua ki daagh ka sarmaaya dood tha tha KHvaab men khayal ko tujh se mua'amla jab aankh khul gaii na ziyaan tha na sood tha leta hooñ maktab-e-gham-e-dil men sabq hanooz lekin yahii ki raft gaya aur bood tha dhaanpa kafan ne daagh-e-uyuub-e-barhangee main warna har libaas men nang-e-wujood tha teshe baghair mar na sakaa kohkan asad sargashta-e-khumaar-e-rusoom-o-quyood tha aalam jahaan b-arz-e-bisaat-e-wujood tha jun subh chaak-e-jeb mujhe taar-o-pood tha baazi-khur-e-fareb hai ahl-e-nazar ka zauq hangaama garm-e-hairat-e-bood-o-nabood tha aalam tilism-e-shehr-e-khamoshi hai sar-basar ya main ghareeb-e-kishwar-e-guft-o-shunood tha tangi rafeeq-e-rah thii adam ya vujood tha meraa safar b-taala-e-chashm-e-hasood tha tu yak-jahaan qamaash-e-hawas jama kar ki main hairat-mataa-e-aalam-e-nuqsaan-o-sood tha gardish-muheet-e-zulm raha jis qadar falak main paayemaal-e-ghamzaa-e-chashm-e-kabood tha poocha tha garche yaar ne ahwaal-e-dil magar kis ko dimaagh-e-minnat-e-guft-o-shunood tha khur shabnam-aashnaa na hua warna main asad sar-ta-qadam guzaarish-e-zauq-e-sujuud tha
Mirza Ghalib
0 likes
hareef-e-matlab-e-mushkil nahin fusoon-e-niyaaz dua qubool ho ya rab ki umr-e-khizr daraaz na ho ba-harza biyaabaan-navard-e-vahm-e-wujood hanooz tere tasavvur men hai nasheb-o-faraz visaal jalwa tamasha hai par dimaagh kahaan ki deeje aaina-e-intezaar ko pardaz har ek zarra-e-aashiq hai aftaab-parast gaii na KHaak hue par hawa-e-jalwa-e-naaz na pooch wusaat-e-may-khaana-e-junoon ghalib jahaan ye kaasa-e-gardoon hai ek khaak-andaaz fareb-e-sanat-e-ijaad ka tamasha dekh nigaah aks-farosh o khayal aaina-saaz zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-aara hai udri hai safha-e-khaatir se soorat-e-parwaaz hujoom-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai ki sheesha naazuk o sahba-e-aabgeen-gudaaz asad se tark-e-wafa ka gumaan vo maani hai ki kheenchiye par-e-taair se soorat-e-parwaaz hanooz ai asar-e-deed nang-e-ruswaai nigaah fitna-khiraam o dar-e-do-aalam baaz
Mirza Ghalib
0 likes
ham rashk ko apne bhi gawara nahin karte marte hain wale un ki tamannaa nahin karte dar-parda unhen gair se hai rabt-e-nihaani zaahir ka ye parda hai ki parda nahin karte ye bais-e-naumidi-e-arbaab-e-hawas hai ghalib ko bura kahte hain achha nahin karte
Mirza Ghalib
0 likes
zikr meraa b-badi bhi use manzoor nahin gair ki baat bigad jaa.e to kuchh door nahin vaada-e-sair-e-gulistaan hai khusa taale-e-shauq muzda-e-qatl muqaddar hai jo mazkoor nahin shaahid-e-hasti-e-mutlaq ki kamar hai aalam log kahte hain ki hai par ha men manzoor nahin qatra apna bhi haqeeqat men hai dariyaa lekin ham ko taqleed-e-tunuk-zarfi-e-mansoor nahin hasrat ai zauq-e-kharaabi ki vo taqat na rahi ishq-e-pur-arbada ki goon tan-e-ranjur nahin main jo kahtaa hooñ ki ham lenge qayamat men tumhein kis ra'unat se vo kahte hain ki ham hoor nahin zulm kar zulm agar lutf daregh aata ho tu taghaaful men kisi rang se ma'zoor nahin saaf durdi-kash-e-paimaana-e-jam hain ham log waaye vo baada ki afshurda-e-angoor nahin hooñ zuhoori ke muqaabil men khifaai ghalib mere daave pe ye hujjat hai ki mashhoor nahin
Mirza Ghalib
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mirza Ghalib.
Similar Moods
More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.







