almaari se khat us ke purane nikal aa.e phir se mire chehre pe ye daane nikal aa.e maa baith ke takti thii jahaan se mira rastaa miTTi ke hataate hi khazaane nikal aa.e mumkin hai ha men gaav bhi pahchaan na paa.e bachpan men hi ham ghar se kamaane nikal aa.e ai ret ke zarre tira ehsaan bahut hai aankhoñ ko bhigone ke bahaane nikal aa.e ab tere bulane se bhi ham aa nahin sakte ham tujh se bahut aage zamaane nikal aa.e ek khauf sa rehta hai mire dil men hamesha kis ghar se tiri yaad na jaane nikal aa.e
Related Ghazal
tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho
Jaun Elia
315 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
More from Munawwar Rana
aisa lagta hai ki kar dega ab azaad mujhe mirii marzi se udaane laga sayyaad mujhe main hooñ sarhad pe bane ek makaan ki soorat kab talak dekhiye rakhta hai vo aabaad mujhe ek qisse ki tarah vo to mujhe bhool gaya ik kahaanii ki tarah vo hai magar yaad mujhe kam se kam ye to bataa de ki kidhar jaayegi kar ke ai khana-kharaabi mirii barbaad mujhe main samajh jaata hooñ is men koi kamzori hai mere jis she'r pe milti hai bahut daad mujhe
Munawwar Rana
1 likes
duniya tiri raunaq se main ab oob raha hooñ tu chaand mujhe kahti thii main doob raha hooñ ab koi shanaasa bhi dikhaai nahin deta barson main isee shahar ka mahboob raha hooñ main KHvaab nahin aap ki aankhoñ ki tarah tha main aap ka lahjaa nahin usloob raha hooñ ruswaai mire naam se mansoob rahi hai main KHud kahaan ruswaai se mansoob raha hooñ sachchaai to ye hai ki tire qarya-e-dil men ik vo bhi zamaana tha ki main khoob raha hooñ us shahar ke patthar bhi gawaahi mirii denge sehra bhi bataa dega ki majzoob raha hooñ duniya mujhe saahil se khadi dekh rahi hai main ek jazeera ki tarah doob raha hooñ shohrat mujhe milti hai to chup-chaap khadi rah ruswaai main tujh se bhi to mansoob raha hooñ fenk aa.e the mujh ko bhi mire bhaai kuein men main sabr men bhi hazrat-e-ayyoob raha hooñ
Munawwar Rana
1 likes
ye but jo ham ne dobara banaa ke rakha hai isee ne ham ko tamasha banaa ke rakha hai vo kis tarah ha men ina'am se nawaazega vo jis ne haathon ko kaasa banaa ke rakha hai yahaañ pe koi bachaane tumhein na aayega samundron ne jazeera banaa ke rakha hai tamaam umr ka haasil hai ye hunar meraa ki main ne sheeshe ko heera banaa ke rakha hai kise kise abhii sajda-guzaar hona hai ameer-e-shahr ne khaata banaa ke rakha hai main bach gaya to yaqeenan ye mo'jiza hogaa s abhii ne mujh ko nishaana banaa ke rakha hai koi bataa de ye suraj ko ja ke ham ne bhi shajar ko dhoop men chaata banaa ke rakha hai
Munawwar Rana
3 likes
mujh ko gehraai men miTTi ki utar jaana hai zindagi baandh le saamaan-e-safar jaana hai ghar ki dahleez pe raushan hain vo bujhti aañkhen mujh ko mat rok mujhe laut ke ghar jaana hai main vo mele men bhatkata hua ik bachcha hooñ jis ke maa baap ko rote hue mar jaana hai zindagi taash ke patton ki tarah hai meri aur patton ko bahr-haal bikhar jaana hai ek be-naam se rishte ki tamannaa le kar is kabootar ko kisi chat pe utar jaana hai
Munawwar Rana
5 likes
chaanv mil jaa.e to kam daam men bik jaati hai ab thakan thode se aaraam men bik jaati hai aap kya mujh ko nawaazeṅge janaab-e-aali saltanat tak mire ina'am men bik jaati hai she'r jaisa bhi ho is shahar men padh sakte ho chaai jaisi bhi ho aasaam men bik jaati hai vo siyaasat ka ilaqa hai udhar mat jaana aabroo koocha-e-bad-naam men bik jaati hai
Munawwar Rana
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Munawwar Rana.
Similar Moods
More moods that pair well with Munawwar Rana's ghazal.







