ghazalKuch Alfaaz

o dil tod ke jaane waale dil ki baat bataata ja ab main dil ko kya samjhaaoon mujh ko bhi samjhaata ja haan mere majrooh tabassum khushk labon tak aata ja phool ki hast-o-bood yahii hai khilta ja murjhata ja meri chup rahne ki aadat jis kaaran bad-naam hui ab vo hikaayat aam hui hai sunta ja sharmaata ja ye dukh-dard ki barkha bande den hai tere daata ki shukr-e-nemat bhi karta ja daaman bhi failaata ja jeene ka armaan karoon ya marne ka samaan karoon ishq men kya hota hai naaseh aql ki baat sujhaata ja tujh ko abr-aalood dinon se kaam na chaandni raaton se behlaata hai baaton se behlaata ja behlaata ja dono sang-e-raah-e-talab hain raah-numa bhi manzil bhi zauq-e-talab har ek qadam par dono ko thukraata ja nag men se jab phool khilenge chunne waale chun lenge sunne waale sun lenge tu apni dhun men gaata ja aaKHir tujh ko bhi maut aayi KHair hafiz khuda-haafiz lekin marte marte pyaare vajh-e-marg bataata ja

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

jhoothon ne jhoothon se kaha hai sach bolo sarkaari elaan hua hai sach bolo ghar ke andar to jhoothon ki ek mandi hai darwaaze par likha hua hai sach bolo guldaste par yakjahti likh rakha hai guldaste ke andar kya hai sach bolo ganga maiya doobne waale apne the naav men kisne chhed kiya hai sach bolo

Rahat Indori

71 likes

More from Hafeez Jalandhari

aaKHir ek din shaad karoge meraa ghar aabaad karoge pyaar ki baatein vasl ki raatein yaad karoge yaad karoge kis dil se aabaad kiya tha kis dil se barbaad karoge main ne apni qeemat kah dii tum bhi kuchh irshaad karoge zar ke bando aql ke andho tum kya mujh ko shaad karoge jab mujh ko chup lag jaayegi phir tum bhi fariyaad karoge aur tumhein aata hi kya hai koi sitam ijaad karoge tang aa kar ai banda-parvar bande ko azaad karoge mere dil men basne waalo tum mujh ko barbaad karoge husn ko rusva kar ke maroonga aaKHir tum kya yaad karoge hashr ke din ummeed hai naaseh tum meri imdaad karoge

Hafeez Jalandhari

1 likes

mitne waali hasratein ijaad kar leta hooñ main jab bhi chaahoon ik jahaan aabaad kar leta hooñ main mujh ko in majbooriyon par bhi hai itnaa ikhtiyaar aah bhar leta hooñ main fariyaad kar leta hooñ main husn be-chaara to ho jaata hai akshar meherbaan phir use aamaada-e-be-daad kar leta hooñ main tu nahin kahtaa magar dekh o wafa-na-aashnaa apni hasti kis qadar barbaad kar leta hooñ main haan ye veeraana ye dil ye aarzooon ka mazaar tum kaho to phir ise aabaad kar leta hooñ main jab koi taaza museebat tootti hai ai hafiz ek aadat hai KHuda ko yaad kar leta hooñ main

Hafeez Jalandhari

0 likes

ham hi men thii na koi baat yaad na tum ko aa sake tum ne ha men bhula diya ham na tumhein bhula sake tum hi na sun sake agar qissa-e-gham sunega kaun kis ki zabaan khulegi phir ham na agar suna sake hosh men aa chuke the ham josh men aa chuke the ham bazm ka rang dekh kar sar na magar utha sake raunaq-e-bazm ban ga.e lab pe hikaayaten raheen dil men shikaayaten raheen lab na magar hila sake shauq-e-visaal hai yahaañ lab pe sawaal hai yahaañ kis ki majaal hai yahaañ ham se nazar mila sake aisa ho koi nama-bar baat pe kaan dhar sake sun ke yaqeen kar sake ja ke unhen suna sake izz se aur badh gaii barhamee-e-mizaaj-e-dost ab vo kare ilaaj-e-dost jis ki samajh men aa sake ahl-e-zabaan to hain bahut koi nahin hai ahl-e-dil kaun tiri tarah hafiz dard ke geet ga sake

Hafeez Jalandhari

0 likes

mujhe shaad rakhna ki naashaad rakhna mire deeda o dil ko aabaad rakhna bhulaai nahin ja sakengi ye baatein tumhein yaad aayenge ham yaad rakhna vo naashaad o barbaad rakhte hain mujh ko ilaahi unhen shaad o aabaad rakhna tumhein bhi qasam hai ki jo sar jhuka de usii ko tah-e-tegh-e-bedad rakhna milenge tumhein raah men but-kade bhi zaraa apne allah ko yaad rakhna jahaan bhi nashe men qadam larkhadaayein wahin ek masjid ki buniyaad rakhna sitaaron pe chalte hue ibn-e-aadam nazar men farishton ki uftaad rakhna hafiz apne afkaar ki saadgi ko takalluf ki uljhan se azaad rakhna

Hafeez Jalandhari

0 likes

aane waale jaane waale har zamaane ke li.e aadmi mazdoor hai raahen banaane ke li.e zindagi firdaus-e-gum-gashta ko pa sakti nahin maut hi aati hai ye manzil dikhaane ke li.e meri peshaani pe ik sajda to hai likkha hua ye nahin maaloom hai kis aastaane ke li.e un ka w'ada aur mujhe us par yaqeen ai hum-nasheen ik bahaana hai tadapne tilmilaane ke li.e jab se pahra zabt ka hai aañsuon ki fasl par ho gaiin muhtaaj aañkhen daane daane ke li.e aakhiri ummeed waqt-e-naz'a un ki deed thii maut ko bhi mil gaya fiqra na aane ke li.e allah allah dost ko meri tabaahi par ye naaz soo-e-dushman dekhta hai daad paane ke li.e nemat-e-gham meraa hissa mujh ko de de ai KHuda jam'a rakh meri khushi saare zamaane ke li.e nuskha-e-hasti men ibarat ke siva kya tha hafiz surkhiyaan kuchh mil gaiin apne fasaane ke li.e

Hafeez Jalandhari

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's ghazal.