ghazalKuch Alfaaz

mujhe shaad rakhna ki naashaad rakhna mire deeda o dil ko aabaad rakhna bhulaai nahin ja sakengi ye baatein tumhein yaad aayenge ham yaad rakhna vo naashaad o barbaad rakhte hain mujh ko ilaahi unhen shaad o aabaad rakhna tumhein bhi qasam hai ki jo sar jhuka de usii ko tah-e-tegh-e-bedad rakhna milenge tumhein raah men but-kade bhi zaraa apne allah ko yaad rakhna jahaan bhi nashe men qadam larkhadaayein wahin ek masjid ki buniyaad rakhna sitaaron pe chalte hue ibn-e-aadam nazar men farishton ki uftaad rakhna hafiz apne afkaar ki saadgi ko takalluf ki uljhan se azaad rakhna

Related Ghazal

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

main bhi tum jaisa hooñ apne se juda mat samjho aadmi hi mujhe rahne do KHuda mat samjho ye jo main hosh men rehta nahin tumse mil kar ye mira ishq hai tum isko nasha mat samjho raas aata nahin sabko ye mohabbat ka marz meri beemaarii ko tum apni davaa mat samjho

Shakeel Azmi

51 likes

vo to achha hai ghazal teraa sahaara hai mujhe warna fikron ne to bas gher ke maara hai mujhe jiski tasveer main kaagaz pe banaa bhi na sakaa usne mehn dii se hatheli pe utaara hai mujhe ghair ke haath se marham mujhe manzoor nahin tum magar zakham bhi de do to gawara hai mujhe

Abrar Kashif

54 likes

ye kis tarah ka ta'alluq hai aapka mere saath mujhe hi chhod ke jaane ka mashwara mere saath yahii kahii ha men raston ne baddua dii thii magar main bhool gaya aur kaun tha mere saath vo jhaankta nahin khidki se din nikalta hai tujhe yaqeen nahin aa raha to aa mere saath

Tehzeeb Hafi

92 likes

More from Hafeez Jalandhari

mitne waali hasratein ijaad kar leta hooñ main jab bhi chaahoon ik jahaan aabaad kar leta hooñ main mujh ko in majbooriyon par bhi hai itnaa ikhtiyaar aah bhar leta hooñ main fariyaad kar leta hooñ main husn be-chaara to ho jaata hai akshar meherbaan phir use aamaada-e-be-daad kar leta hooñ main tu nahin kahtaa magar dekh o wafa-na-aashnaa apni hasti kis qadar barbaad kar leta hooñ main haan ye veeraana ye dil ye aarzooon ka mazaar tum kaho to phir ise aabaad kar leta hooñ main jab koi taaza museebat tootti hai ai hafiz ek aadat hai KHuda ko yaad kar leta hooñ main

Hafeez Jalandhari

0 likes

ham hi men thii na koi baat yaad na tum ko aa sake tum ne ha men bhula diya ham na tumhein bhula sake tum hi na sun sake agar qissa-e-gham sunega kaun kis ki zabaan khulegi phir ham na agar suna sake hosh men aa chuke the ham josh men aa chuke the ham bazm ka rang dekh kar sar na magar utha sake raunaq-e-bazm ban ga.e lab pe hikaayaten raheen dil men shikaayaten raheen lab na magar hila sake shauq-e-visaal hai yahaañ lab pe sawaal hai yahaañ kis ki majaal hai yahaañ ham se nazar mila sake aisa ho koi nama-bar baat pe kaan dhar sake sun ke yaqeen kar sake ja ke unhen suna sake izz se aur badh gaii barhamee-e-mizaaj-e-dost ab vo kare ilaaj-e-dost jis ki samajh men aa sake ahl-e-zabaan to hain bahut koi nahin hai ahl-e-dil kaun tiri tarah hafiz dard ke geet ga sake

Hafeez Jalandhari

0 likes

husn ne seekheen ghareeb-aazaarriyaan ishq ki majbooriyaan laachaariyaan bah gaya dil hasraton ke KHoon men le gaiin beemaar ko beemaariyaan soch kar gham deejie aisa na ho aap ko karne pade gham-khwaariyaan daar ke qadmon men bhi pahunchee na aql ishq hi ke sar raheen sardaariyaan ik taraf jins-e-wafa qeemat-tabl ik taraf main aur mirii naadaariyaan hote hote jaan doobhar ho gaii badhte badhte badh gaiin be-zaariyaan tum ne duniya hi badal daali mirii ab to rahne do ye duniya-daariyaan

Hafeez Jalandhari

0 likes

koi davaa na de sake mashwara-e-dua diya charagaron ne aur bhi dard dil ka badha diya dono ko de ke sooraten saath hi aaina diya ishq bisorne laga husn ne muskuraa diya zaauq-e-nigaah ke siva shauq-e-gunaah ke siva mujh ko buton se kya mila mujh ko KHuda ne kya diya thii na khizaan ki rok-thaam daman-e-ikhtiyaar men ham ne bharii bahaar men apna chaman luta diya husn-e-nazar ki aabroo sanat-e-barahman se hai jis ko sanam banaa liya us ko KHuda banaa diya daagh hai mujh pe ishq ka meraa gunaah bhi to dekhus ki nigaah bhi to dekh jis ne ye gul khila diya ishq ki mamlakat men hai shorish-e-aql-e-na-muraad ubhara kahii jo ye fasaad dil ne wahin daba diya naqsh-e-wafa to main hi tha ab mujhe dhoondte ho kya harf-e-ghalat nazar pada tum ne mujhe mita diya khubs-e-darun dikha diya har dehan-e-ghaliz ne kuchh na kaha hafiz ne hañs diya muskuraa diya

Hafeez Jalandhari

1 likes

aaKHir ek din shaad karoge meraa ghar aabaad karoge pyaar ki baatein vasl ki raatein yaad karoge yaad karoge kis dil se aabaad kiya tha kis dil se barbaad karoge main ne apni qeemat kah dii tum bhi kuchh irshaad karoge zar ke bando aql ke andho tum kya mujh ko shaad karoge jab mujh ko chup lag jaayegi phir tum bhi fariyaad karoge aur tumhein aata hi kya hai koi sitam ijaad karoge tang aa kar ai banda-parvar bande ko azaad karoge mere dil men basne waalo tum mujh ko barbaad karoge husn ko rusva kar ke maroonga aaKHir tum kya yaad karoge hashr ke din ummeed hai naaseh tum meri imdaad karoge

Hafeez Jalandhari

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Hafeez Jalandhari.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Hafeez Jalandhari's ghazal.