ghazalKuch Alfaaz

apne andaaz ka akela tha is li.e main badaa akela tha pyaar to janam ka akela tha kya miraa tajurba akela tha saath teraa na kuchh badal paaya miraa hi raasta akela tha bakhshish-e-be-hisaab ke aage miraa dast-e-dua akela tha teri samjhauta-baaz duniya men kaun mere siva akela tha jo bhi milta gale laga leta kis qadar aaina akela tha

Related Ghazal

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

More from Waseem Barelvi

apne saa.e ko itnaa samjhaane de mujh tak mere hisse ki dhoop aane de ek nazar men kaii zamaane dekhe to boodhi aankhoñ ki tasveer banaane de baba duniya jeet ke main dikhla dooñga apni nazar se door to mujh ko jaane de main bhi to is baagh ka ek parinda hooñ meri hi awaaz men mujh ko gaane de phir to ye ooncha hi hota jaayega bachpan ke haathon men chaand aa jaane de faslen pak jaayen to khet se bichhdenge roti aankh ko pyaar kahaan samjhaane de

Waseem Barelvi

7 likes

tu samajhta hai ki rishton ki duhaai denge ham to vo hain tire chehre se dikhaai denge ham ko mehsoos kiya jaa.e hai khushboo ki tarah ham koi shor nahin hain jo sunaai denge faisla likkha hua rakha hai pahle se KHilaaf aap kya sahab adaalat men safaai denge pichhli saf men hi sahi hai to isee mehfil men aap dekhenge to ham kyun na dikhaai denge

Waseem Barelvi

6 likes

nigaahon ke taqaze chain se marne nahin dete yahaañ manzar hi aise hain ki dil bharne nahin dete ye log auron ke dukh jeene nikal aa.e hain sadkon par agar apna hi gham hota to yuñ dharne nahin dete yahii qatre jo dam apna dikhaane par utar aate samundar aisi man-maani tujhe karne nahin dete qalam main to utha ke jaane kab ka rakh chuka hota magar tum ho ke qissa mukhtasar karne nahin dete humeen un se umeedein aasmaañ choone ki karte hain humeen bacchon ko apne faisley karne nahin dete

Waseem Barelvi

3 likes

vo mujh ko kya bataana chahta hai jo duniya se chhupaana chahta hai mujhe dekho ki main us ko hi chaahoon jise saara zamaana chahta hai qalam karna kahaan hai us ka mansha vo meraa sar jhukaana chahta hai shikaayat ka dhuaan aankhoñ se dil tak ta'alluq toot jaana chahta hai taqaza vaqt ka kuchh bhi ho ye dil vahii qissa puraana chahta hai

Waseem Barelvi

6 likes

kuchh itnaa khauf ka maara hua bhi pyaar na ho vo e'tibaar dilae aur e'tibaar na ho hawa KHilaaf ho maujon pe ikhtiyaar na ho ye kaisi zid hai ki dariyaa kisi se paar na ho main gaav laut raha hooñ bahut dinon ke baad KHuda kare ki use meraa intizaar na ho zaraa si baat pe ghut ghut ke subh kar dena mirii tarah bhi koi meraa gham-gusaar na ho dukhi samaaj men aañsu bhare zamaane men use ye kaun bataaye ki ashk-baar na ho gunaahgaaron pe ungli uthaaye dete ho waseem aaj kahii tum bhi sangsaar na ho

Waseem Barelvi

7 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Waseem Barelvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Waseem Barelvi's ghazal.