ghazalKuch Alfaaz

apnon ne vo rang diye hain begaane yaad aate hain dekh ke is bastii ki haalat veeraane yaad aate hain is nagri men qadam qadam pe sar ko jhukaana padta hai is nagri men qadam-qadam par butkhaane yaad aate hain aañkhen puranam ho jaati hain ghurbat ke sehraaon men jab us rimjhim ki waa dii ke afsaane yaad aate hain aise-aise dard mile hain naye dayaaron men hamko bichhde hue kuchh log purane yaaraane yaad aate hain jinke kaaran aaj hamaare haal pe duniya hansati hai kitne zalim chehre jaane-pahchaane yaad aate hain yoon na luti thii galiyon-galiyon daulat apne ashkon ki rote hain to hamko apne ghamkhaane yaad aate hain koi to parcham lekar nikle apne garebaan ka jaalib chaaron jaanib sannaata hai deewane yaad aate hain

Related Ghazal

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

mujhse mat poochho ki mujh...ko aur kya kya yaad hai vo mere nazdeek aaya tha bas itnaa yaad hai yuñ to dashte-dil men kitnon ne qadam rakhe magar bhool jaane par bhi ek naqsh-e-kaf-e-paa yaad hai us badan ki ghaatiyan tak naqsh hain dil par mere kohsaaron se samandar tak ko dariyaa yaad hai mujhse vo kaafir musalmaan to na ho paaya kabhi lekin us..ko vo tarju men ke saath kalmaa yaad hai

Tehzeeb Hafi

73 likes

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai

Umair Najmi

81 likes

shaitaan ke dil par chaltaa hoon seenon men safar karta hoonus aankh ka kya bachta hai main jis aankh men ghar karta hoon jo mujh men utre hain unko meri lehron ka andaaza hai daryaao men uthata baithta hoon sailaab basar karta hoon meri tanhaaii ka bojh tumhaari binaai le doobega mujhe itnaa qareeb se mat dekho aankhoñ par asar karta hoon

Tehzeeb Hafi

63 likes

tareekiyo ko aag lage aur diya jale ye raat bein karti rahe aur diya jale us ki zabaan men itnaa asar hai ki nisf shab vo raushni ki baat kare aur diya jale tum chahte ho tum se bichhad ke bhi KHush rahoon ya'ni hawa bhi chalti rahe aur diya jale kya mujh se bhi aziz hai tum ko diye ki lau phir to meraa mazaar bane aur diya jale suraj to meri aankh se aage ki cheez hai main chahta hooñ shaam dhale aur diya jale tum lautne men der na karna ki ye na ho dil teergii men gher chuke aur diya jale

Tehzeeb Hafi

63 likes

More from Habib Jalib

aag hai phaili hui kaali ghataon ki jagah bad-duaaein hain labon par ab duaon ki jagah intikhaab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil dekh kar zaagh-o-zagn ko khush-navaaon ki jagah kuchh bhi hota par na hote paara-paara jism-o-jaan raahzan hote agar un rahnumaaon ki jagah loot gaii is daur men ahl-e-qalam ki aabroo bik rahe hain ab sahafi besavaaon ki jagah kuchh to aata ham ko bhi jaañ se guzarne ka mazaa gair hote kaash jaalib aashnaon ki jagah

Habib Jalib

1 likes

vo dekhne mujhe aanaa to chahta hogaa magar zamaane ki baaton se dar gaya hogaa use tha shauq bahut mujh ko achha rakhne ka ye shauq auron ko shaayad bura laga hogaa kabhi na hadd-e-adab se badhe the deeda o dil vo mujh se kis li.e kisi baat par KHafaa hogaa mujhe gumaan hai ye bhi yaqeen ki had tak kisi se bhi na vo meri tarah mila hogaa kabhi kabhi to sitaaron ki chaanv men vo bhi mire khayal men kuchh der jaagta hogaa vo us ka saada o maasoom vaalehaana-pan kisi bhi jug men koi devta bhi kya hogaa nahin vo aaya to jaalib gilaa na kar us ka na-jaane kya use darpaish mas'ala hogaa

Habib Jalib

0 likes

meer'-o-'ghalib bane yagaana bane aadmi ai KHuda KHuda na bane maut ki dastaras men kab se hain zindagi ka koi bahaana bane apna shaayad yahii tha jurm ai dost ba-wafa ban ke be-wafa na bane ham pe ik e'itraaz ye bhi hai be-nava ho ke be-nava na bane ye bhi apna qusoor kya kam hai kisi qaateel ke ham-nava na bane kya gilaa sang-dil zamaane ka aashna hi jab aashna na bane chhod kar us gali ko ai jaalib ik haqeeqat se ham fasana bane

Habib Jalib

0 likes

faiz aur faiz ka gham bhoolne vaala hai kahii maut ye teraa sitam bhoolne vaala hai kahii ham se jis vaqt ne vo shaah-e-sukhan cheen liya ham ko vo waqt-e-alam bhoolne vaala hai kahii tire ashk aur bhi chamkaayeingi yaaden us ki ham ko vo deeda-e-nam bhoolne vaala hai kahii kabhi zindaan men kabhi door watan se ai dost jo kiya us ne raqam bhoolne vaala hai kahii aakhiri baar use dekh na paa.e jaalib ye muqaddar ka sitam bhoolne vaala hai kahii

Habib Jalib

0 likes

kahii aah ban ke lab par tira naam aa na jaa.e tujhe be-vafa kahooñ main vo maqaam aa na jaa.e zaraa zulf ko sambhalo mira dil dhadak raha hai koi aur taair-e-dil tah-e-daam aa na jaa.e jise sun ke toot jaa.e mira aarzoo bhara dil tiri anjuman se mujh ko vo payaam aa na jaa.e vo jo manzilon pe la kar kisi hum-safar ko looten unhin rahzano men teraa kahii naam aa na jaa.e isee fikr men hain ghaltan ye nizaam-e-zar ke bande jo tamaam-e-zindagi hai vo nizaam aa na jaa.e ye mah o nujoom hañs len mire aañsuon pe jaalib mira mahtaab jab tak lab-e-baam aa na jaa.e

Habib Jalib

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Habib Jalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Habib Jalib's ghazal.