vo dekhne mujhe aanaa to chahta hogaa magar zamaane ki baaton se dar gaya hogaa use tha shauq bahut mujh ko achha rakhne ka ye shauq auron ko shaayad bura laga hogaa kabhi na hadd-e-adab se badhe the deeda o dil vo mujh se kis li.e kisi baat par KHafaa hogaa mujhe gumaan hai ye bhi yaqeen ki had tak kisi se bhi na vo meri tarah mila hogaa kabhi kabhi to sitaaron ki chaanv men vo bhi mire khayal men kuchh der jaagta hogaa vo us ka saada o maasoom vaalehaana-pan kisi bhi jug men koi devta bhi kya hogaa nahin vo aaya to jaalib gilaa na kar us ka na-jaane kya use darpaish mas'ala hogaa
Related Ghazal
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
is tarah se na aajmao mujhe uski tasveer mat dikhaao mujhe ain mumkin hai main palat aaun uski aawaaz men bulao mujhe maine bola tha yaad mat aanaa jhooth bola tha yaad aao mujhe
Ali Zaryoun
64 likes
maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga
Tehzeeb Hafi
241 likes
uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai
Tehzeeb Hafi
220 likes
More from Habib Jalib
us ne jab hañs ke namaskaar kiya mujh ko insaan se avtaar kiya dasht-e-ghurbat men dil-e-veeraan ne yaad jamuna ko kaii baar kiya pyaar ki baat na poochho yaaro ham ne kis kis se nahin pyaar kiya kitnii khwaabida tamannaon kous ki awaaz ne bedaar kiya ham pu jaarii hain buton ke jaalib ham ne ka'be men bhi iqaar kiya
Habib Jalib
1 likes
meer'-o-'ghalib bane yagaana bane aadmi ai KHuda KHuda na bane maut ki dastaras men kab se hain zindagi ka koi bahaana bane apna shaayad yahii tha jurm ai dost ba-wafa ban ke be-wafa na bane ham pe ik e'itraaz ye bhi hai be-nava ho ke be-nava na bane ye bhi apna qusoor kya kam hai kisi qaateel ke ham-nava na bane kya gilaa sang-dil zamaane ka aashna hi jab aashna na bane chhod kar us gali ko ai jaalib ik haqeeqat se ham fasana bane
Habib Jalib
0 likes
aag hai phaili hui kaali ghataon ki jagah bad-duaaein hain labon par ab duaon ki jagah intikhaab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil dekh kar zaagh-o-zagn ko khush-navaaon ki jagah kuchh bhi hota par na hote paara-paara jism-o-jaan raahzan hote agar un rahnumaaon ki jagah loot gaii is daur men ahl-e-qalam ki aabroo bik rahe hain ab sahafi besavaaon ki jagah kuchh to aata ham ko bhi jaañ se guzarne ka mazaa gair hote kaash jaalib aashnaon ki jagah
Habib Jalib
1 likes
ham ne dil se tujhe sadaa maana tu badaa tha tujhe badaa maana meer'-o-'ghalib ke baa'd anees ke baa'd tujh ko maana badaa baja maana tu ki deewana-e-sadaqat tha tu ne bande ko kab KHuda maana tujh ko parwa na thii zamaane ki tu ne dil hi ka har kaha maana tujh ko KHud pe tha e'timaad itnaa KHud hi ko to na rehnuma maana ki na shab ki kabhi paziraai subh ko laaiq-e-sana maana hañs diya sath-e-zehn-e-aalam par jab kisi baat ka bura maana yuñ to sha'ir the aur bhi ai josh ham ne tujh sa na doosra maana
Habib Jalib
0 likes
ye soch kar na maail-e-fariyaad ham hue aabaad kab hue the ki barbaad ham hue hota hai shaad-kaam yahaañ kaun ba-zameer naashaad ham hue to bahut shaad ham hue parvez ke jalaal se takraaye ham bhi hain ye aur baat hai ki na farhaad ham hue kuchh aise bha ga.e ha men duniya ke dard-o-gham koo-e-butaan men bhooli hui yaad ham hue jaalib tamaam umr ha men ye gumaan rahaus zulf ke khayal se azaad ham hue
Habib Jalib
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Habib Jalib.
Similar Moods
More moods that pair well with Habib Jalib's ghazal.







