ghazalKuch Alfaaz

us ne jab hañs ke namaskaar kiya mujh ko insaan se avtaar kiya dasht-e-ghurbat men dil-e-veeraan ne yaad jamuna ko kaii baar kiya pyaar ki baat na poochho yaaro ham ne kis kis se nahin pyaar kiya kitnii khwaabida tamannaon kous ki awaaz ne bedaar kiya ham pu jaarii hain buton ke jaalib ham ne ka'be men bhi iqaar kiya

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

More from Habib Jalib

aag hai phaili hui kaali ghataon ki jagah bad-duaaein hain labon par ab duaon ki jagah intikhaab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil dekh kar zaagh-o-zagn ko khush-navaaon ki jagah kuchh bhi hota par na hote paara-paara jism-o-jaan raahzan hote agar un rahnumaaon ki jagah loot gaii is daur men ahl-e-qalam ki aabroo bik rahe hain ab sahafi besavaaon ki jagah kuchh to aata ham ko bhi jaañ se guzarne ka mazaa gair hote kaash jaalib aashnaon ki jagah

Habib Jalib

1 likes

ham ne dil se tujhe sadaa maana tu badaa tha tujhe badaa maana meer'-o-'ghalib ke baa'd anees ke baa'd tujh ko maana badaa baja maana tu ki deewana-e-sadaqat tha tu ne bande ko kab KHuda maana tujh ko parwa na thii zamaane ki tu ne dil hi ka har kaha maana tujh ko KHud pe tha e'timaad itnaa KHud hi ko to na rehnuma maana ki na shab ki kabhi paziraai subh ko laaiq-e-sana maana hañs diya sath-e-zehn-e-aalam par jab kisi baat ka bura maana yuñ to sha'ir the aur bhi ai josh ham ne tujh sa na doosra maana

Habib Jalib

0 likes

ye soch kar na maail-e-fariyaad ham hue aabaad kab hue the ki barbaad ham hue hota hai shaad-kaam yahaañ kaun ba-zameer naashaad ham hue to bahut shaad ham hue parvez ke jalaal se takraaye ham bhi hain ye aur baat hai ki na farhaad ham hue kuchh aise bha ga.e ha men duniya ke dard-o-gham koo-e-butaan men bhooli hui yaad ham hue jaalib tamaam umr ha men ye gumaan rahaus zulf ke khayal se azaad ham hue

Habib Jalib

1 likes

darakht sookh ga.e ruk ga.e nadi naale ye kis nagar ko ravana hue hain ghar waale kahaaniyaan jo sunaate the ahd-e-rafta ki nishaan vo gardish-e-ayyaam ne mita dale main shahar shahar fira hooñ isee tamannaa men kisi ko apna kahooñ koi mujh ko apna le sadaa na de kisi mahtaab ko andheron men laga na de ye zamaana zabaan par taale koi kiran hai yahaañ to koi kiran hai vahaañ dil o nigaah ne kis darja rog hain pale humeen pe un ki nazar hai humeen pe un ka karam ye aur baat yahaañ aur bhi hain dil waale kuchh aur tujh pe khulengi haqeeqaten jaalib jo ho sake to kisi ka fareb bhi kha le

Habib Jalib

1 likes

log geeton ka nagar yaad aaya aaj pardes men ghar yaad aaya jab chale aa.e chaman-zaar se ham iltifaat-e-gul-e-tar yaad aaya teri begaana-nigaahi sar-e-shaam ye sitam ta-b-sehr yaad aaya ham zamaane ka sitam bhool ga.e jab tira lutf-e-nazar yaad aaya to bhi masroor tha is shab sar-e-bazm apne she'r'on ka asar yaad aaya phir hua dard-e-tamanna bedaar phir dil-e-khaak-basar yaad aaya ham jise bhool chuke the jaalib phir vahii raahguzar yaad aaya

Habib Jalib

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Habib Jalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Habib Jalib's ghazal.