ghazalKuch Alfaaz

avvalin chand ne kya baat sujhai mujh ko yaad aai tiri angusht-e-hinai mujh ko sar-e-aivan-e-tarab naghhma-sara tha koi raat bhar us ne tiri yaad dilai mujh ko dekhte dekhte taron ka safar khatm hua so gaya chand magar niind na aai mujh ko inhi ankhon ne dikhae kai bharpur jamal inhin ankhon ne shab-e-hijr dikhai mujh ko saae ki tarah mire saath rahe ranj o alam gardish-e-vaqt kahin raas na aai mujh ko dhuup idhar dhalti thi dil dubta jaata tha idhar aaj tak yaad hai vo sham-e-judai mujh ko shahr-e-lahore tiri raunaqen daaim abad teri galiyon ki hava khinch ke laai mujh ko awwalin chand ne kya baat sujhai mujh ko yaad aai teri angusht-e-hinai mujh ko sar-e-aiwan-e-tarab naghma-sara tha koi raat bhar us ne teri yaad dilai mujh ko dekhte dekhte taron ka safar khatm hua so gaya chand magar nind na aai mujh ko inhi aankhon ne dikhae kai bharpur jamal inhin aankhon ne shab-e-hijr dikhai mujh ko sae ki tarah mere sath rahe ranj o alam gardish-e-waqt kahin ras na aai mujh ko dhup idhar dhalti thi dil dubta jata tha idhar aaj tak yaad hai wo sham-e-judai mujh ko shahr-e-lahore teri raunaqen daim aabaad teri galiyon ki hawa khinch ke lai mujh ko

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

More from Nasir Kazmi

dil men aur to kya rakha hai teraa dard chhupa rakha hai itne dukhon ki tez hawa men dil ka deep jala rakha hai dhoop se chehron ne duniya men kya andher macha rakha hai is nagri ke kuchh logon ne dukh ka naam davaa rakha hai waada-e-yaar ki baat na chhedo ye dhoka bhi kha rakha hai bhool bhi jaao beetii baatein in baaton men kya rakha hai chup chup kyun rahte ho naasir ye kya rog laga rakha hai

Nasir Kazmi

11 likes

jab zaraa tez hawa hoti hai kaisi sunsaan fazaa hoti hai ham ne dekhe hain vo sannaate bhi jab har ik saans sadaa hoti hai dil ka ye haal hua tere baad jaise veeraan sara hoti hai rona aata hai ha men bhi lekin is men tauheen-e-wafa hoti hai munh-andhere kabhi uth kar dekho kya tar o taaza hawa hoti hai ajnabi dhyaan ki har mauj ke saath kis qadar tez hawa hoti hai gham ke be-noor guzargaahon men ik kiran zauq-faza hoti hai gham-gusaar-e-safar-e-raah-e-wafa miza-e-aabla-pa hoti hai gulshan-e-fikr ki munh-band kali shab-e-mehtaab men vaa hoti hai jab nikalti hai nigaar-e-shab-e-gul munh pe shabnam ki rida hoti hai haadsa hai ki khizaan se pahle boo-e-gul gul se juda hoti hai ik naya daur janam leta hai ek tahzeeb fana hoti hai jab koi gham nahin hota naasir bekli dil ki siva hoti hai

Nasir Kazmi

2 likes

musalsal bekli dil ko rahi hai magar jeene ki soorat to rahi hai main kyun firta hooñ tanhaa maara maara ye bastii chain se kyun so rahi hai chale dil se ummeedon ke musaafir ye nagri aaj khaali ho rahi hai na samjho tum ise shor-e-bahaaraan khizaan patton men chhup kar ro rahi hai hamaare ghar ki deewaron pe naasir udaasi baal khole so rahi hai

Nasir Kazmi

2 likes

gali gali mirii yaad bichi hai pyaare rastaa dekh ke chal mujh se itni vehshat hai to mirii hadon se door nikal ek samay tira phool sa naazuk haath tha mire shaanon par ek ye vaqt ki main tanhaa aur dukh ke kaanton ka jungle yaad hai ab tak tujh se bichhadne ki vo andheri shaam mujhe tu KHaamosh khada tha lekin baatein karta tha kaajal main to ek nayi duniya ki dhun men bhatkata firta hooñ mirii tujh se kaise nibhegi ek hain tere fikr o amal meraa munh kya dekh raha hai dekh is kaali raat ko dekh main vahii teraa hamraahi hooñ saath mire chalna ho to chal

Nasir Kazmi

4 likes

dayaar-e-dil ki raat men charaaghh sa jala gaya mila nahin to kya hua vo shakl to dikha gaya vo dosti to KHair ab naseeb-e-dushmanan hui vo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gaya judaaiyon ke zakham dard-e-zindagi ne bhar diye tujhe bhi neend aa gaii mujhe bhi sabr aa gaya pukaarti hain fursatein kahaan gaiin vo sohbaten zameen nigal gaii unhen ki aasmaan kha gaya ye subh ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan ab aaine men dekhta hooñ main kahaan chala gaya ye kis khushi ki ret par ghamon ko neend aa gaii vo lehar kis taraf gaii ye main kahaan samaa gaya ga.e dinon ki laash par pade rahoge kab talak alam-kasho utho ki aftaab sar pe aa gaya pukaarti hain fursatein kahaan gaiin vo sohbaten zameen nigal gaii unhen ki aasmaan kha gaya ye subh ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan ab aaine men dekhta hooñ main kahaan chala gaya ye kis khushi ki ret par ghamon ko neend aa gaii vo lehar kis taraf gaii ye main kahaan samaa gaya ga.e dinon ki laash par pade rahoge kab talak alam-kasho utho ki aftaab sar pe aa gaya

Nasir Kazmi

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nasir Kazmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nasir Kazmi's ghazal.