ghazalKuch Alfaaz

az-mehr ta-ba-zarra dil-o-dil hai aaina tuuti ko shash-jihat se muqabil hai aaina hairat hujum-e-lazzat-e-ghhaltani-e-tapish simab-e-balish o kamar-e-dil hai aaina ghhaflat ba-bal-e-jauhar-e-shamshir par-fishan yaan pusht-e-chashm-e-shokhi-e-qatil hai aaina hairat-nigah-e-barq-e-tamasha bahar-e-shokh dar-parda-e-hava par-e-bismil hai aaina yaan rah gae hain nakhun-e-tadbir tuut kar jauhar-tilism-e-uqda-e-mushkil hai aaina ham-zanu-e-taammul o ham-jalva-gah-e-gul aina-band khalvat-o-mahfil hai aaina dil kar-gah-e-fikr o 'asad' be-nava-e-dil yaan sang-e-astana-e-'bedil' hai aaina az-mehr ta-ba-zarra dil-o-dil hai aaina tuti ko shash-jihat se muqabil hai aaina hairat hujum-e-lazzat-e-ghaltani-e-tapish simab-e-baalish o kamar-e-dil hai aaina ghaflat ba-baal-e-jauhar-e-shamshir par-fishan yan pusht-e-chashm-e-shokhi-e-qatil hai aaina hairat-nigah-e-barq-e-tamasha bahaar-e-shokh dar-parda-e-hawa par-e-bismil hai aaina yan rah gae hain nakhun-e-tadbir tut kar jauhar-tilism-e-uqda-e-mushkil hai aaina ham-zanu-e-tammul o ham-jalwa-gah-e-gul aaina-band khalwat-o-mahfil hai aaina dil kar-gah-e-fikr o 'asad' be-nawa-e-dil yan sang-e-astana-e-'bedil' hai aaina

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

More from Mirza Ghalib

raun dii hui hai kaukaba-e-shahriyaar ki itr aa.e kyun na KHaak sar-e-rahguzaar ki jab us ke dekhne ke li.e aayen baadshaah logon men kyun numood na ho laala-zaar ki bhooke nahin hain sair-e-gulistaan ke ham wale kyunkar na khaaiye ki hawa hai bahaar ki

Mirza Ghalib

0 likes

hareef-e-matlab-e-mushkil nahin fusoon-e-niyaaz dua qubool ho ya rab ki umr-e-khizr daraaz na ho ba-harza biyaabaan-navard-e-vahm-e-wujood hanooz tere tasavvur men hai nasheb-o-faraz visaal jalwa tamasha hai par dimaagh kahaan ki deeje aaina-e-intezaar ko pardaz har ek zarra-e-aashiq hai aftaab-parast gaii na KHaak hue par hawa-e-jalwa-e-naaz na pooch wusaat-e-may-khaana-e-junoon ghalib jahaan ye kaasa-e-gardoon hai ek khaak-andaaz fareb-e-sanat-e-ijaad ka tamasha dekh nigaah aks-farosh o khayal aaina-saaz zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-aara hai udri hai safha-e-khaatir se soorat-e-parwaaz hujoom-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai ki sheesha naazuk o sahba-e-aabgeen-gudaaz asad se tark-e-wafa ka gumaan vo maani hai ki kheenchiye par-e-taair se soorat-e-parwaaz hanooz ai asar-e-deed nang-e-ruswaai nigaah fitna-khiraam o dar-e-do-aalam baaz

Mirza Ghalib

0 likes

dil miraa soz-e-nihaan se be-muhaaba jal gaya aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya dil men zauq-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaki nahin aag is ghar men lagii aisi ki jo tha jal gaya main adam se bhi pare hooñ warna ghaafil baar-ha meri aah-e-aatishi'n se baal-e-anqa jal gaya arz kijeye jauhar-e-andesha ki garmi kahaan kuchh khayal aaya tha vehshat ka ki sehra jal gaya dil nahin tujh ko dikhaata warna daaghoon ki bahaar is charaaghaan ka karoon kya kaar-farma jal gaya main hooñ aur afsurdagi ki aarzoo ghalib ki dil dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya khaanmaan-e-aashiqan dukaan-e-aatish-baaz hai shola-roo jab ho ga.e garm-e-tamaasha jal gaya ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamanna jal gaya hai asad begaana-e-afsurdagi ai bekasi dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahl-e-duniya jal gaya dood miraa sumbulistaan se kare hai ham-sari bas-ki shauq-e-aatish-gul se saraapa jal gaya sham'a-ruyaan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar guncha-e-gul par-fishaan parwaana-aasa jal gaya

Mirza Ghalib

0 likes

ham se khul jaao b-waqt-e-may-parasti ek din warna ham chhedenge rakh kar uzr-e-masti ek din gharr-a-e-auj-e-bina-e-aalam-e-imkaan na ho is bulan dii ke naseebon men hai pasti ek din qarz ki peete the may lekin samjhte the ki haan rang laavegi hamaari faqa-masti ek din naghma-ha-e-gham ko bhi ai dil ghaneemat jaaniye be-sada ho jaayega ye saaz-e-hasti ek din dhaul-dhappa us saraapa-naaz ka sheva nahin ham hi kar baithe the ghalib pesh-dasti ek din

Mirza Ghalib

1 likes

ghar hamaara jo na rote bhi to veeraan hota bahar gar bahar na hota to biyaabaan hota tangi-e-dil ka gilaa kya ye vo kaafir-dil hai ki agar tang na hota to pareshaan hota baad yak-umr-e-waraa baar to deta baare kaash rizwan hi dar-e-yaar ka darbaan hota

Mirza Ghalib

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mirza Ghalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mirza Ghalib's ghazal.