bahar bhi ab andar jaisa sannata hai dariya ke us paar bhi gahra sannata hai shor thame to shayad sadiyan biit chuki hain ab tak lekin sahma sahma sannata hai kis se bolun ye to ik sahra hai jahan par main huun ya phir gunga bahra sannata hai jaise ik tufan se pahle ki khamoshi aaj miri basti men aisa sannata hai nai sahar ki chaap na jaane kab ubhregi charon janib raat ka gahra sannata hai soch rahe ho socho lekin bol na padna dekh rahe ho shahr men kitna sannata hai mahv-e-khvab hain saari dekhne vaali ankhen jagne vaala bas ik andha sannata hai darna hai to an-jani avaz se darna ye to 'anis' dekha-bhala sannata hai bahar bhi ab andar jaisa sannata hai dariya ke us par bhi gahra sannata hai shor thame to shayad sadiyan bit chuki hain ab tak lekin sahma sahma sannata hai kis se bolun ye to ek sahra hai jahan par main hun ya phir gunga bahra sannata hai jaise ek tufan se pahle ki khamoshi aaj meri basti mein aisa sannata hai nai sahar ki chap na jaane kab ubhregi chaaron jaanib raat ka gahra sannata hai soch rahe ho socho lekin bol na padna dekh rahe ho shahr mein kitna sannata hai mahw-e-khwab hain sari dekhne wali aankhen jagne wala bas ek andha sannata hai darna hai to an-jaani aawaz se darna ye to 'anis' dekha-bhaala sannata hai
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
More from Aanis Moin
vo mere haal pe roya bhi muskuraya bhi ajeeb shaKHs hai apna bhi hai paraaya bhi ye intizaar sehar ka tha ya tumhaara tha diya jalaya bhi main ne diya bujhaaya bhi main chahta hooñ thehar jaa.e chashm-e-dariya men larzata aks tumhaara bhi meraa saaya bhi bahut maheen tha parda larzatee aankhoñ ka mujhe dikhaaya bhi tu ne mujhe chhupaaya bhi bayaaz bhar bhi gaii aur phir bhi saada hai tumhaare naam ko likkha bhi aur mitaaya bhi
Aanis Moin
5 likes
vo kuchh gahri soch men aise doob gaya hai baithe baithe nadi kinaare doob gaya hai aaj ki raat na jaane kitnii lambi hogii aaj ka suraj shaam se pahle doob gaya hai vo jo pyaasa lagta tha sailaab-zada tha paani paani kahte kahte doob gaya hai mere apne andar ek bhanwar tha jis men meraa sab kuchh saath hi mere doob gaya hai shor to yuñ utha tha jaise ik toofaan ho sannaate men jaane kaise doob gaya hai aakhiri KHvaahish poori kar ke jeena kaisa aanas bhi saahil tak aa ke doob gaya hai
Aanis Moin
0 likes
baahar bhi ab andar jaisa sannaata hai dariyaa ke us paar bhi gahra sannaata hai shor tha men to shaayad sadiyaan beet chuki hain ab tak lekin sehama sehama sannaata hai kis se boluun ye to ik sehra hai jahaan par main hooñ ya phir goonga bahra sannaata hai jaise ik toofaan se pahle ki khaamoshi aaj mirii bastii men aisa sannaata hai nayi sehar ki chaap na jaane kab ubharegi chaaron jaanib raat ka gahra sannaata hai soch rahe ho socho lekin bol na padna dekh rahe ho shahar men kitna sannaata hai mahv-e-khwaab hain saari dekhne waali aañkhen jaagne vaala bas ik andha sannaata hai darna hai to an-jaani awaaz se darna ye to aanis dekha-bhala sannaata hai
Aanis Moin
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aanis Moin.
Similar Moods
More moods that pair well with Aanis Moin's ghazal.







