ghazalKuch Alfaaz

barbad-e-mohabbat ki dua saath liye ja tuuta hua iqrar-e-vafa saath liye ja ik dil tha jo pahle hi tujhe saunp diya tha ye jaan bhi ai jan-e-ada saath liye ja tapti hui rahon se tujhe aanch na pahunche divanon ke ashkon ki ghata saath liye ja shamil hai mira khun-e-jigar teri hina men ye kam ho to ab khun-e-vafa saath liye ja ham jurm-e-mohabbat ki saza paenge tanha jo tujh se hui ho vo khata saath liye ja barbaad-e-mohabbat ki dua sath liye ja tuta hua iqrar-e-wafa sath liye ja ek dil tha jo pahle hi tujhe saunp diya tha ye jaan bhi ai jaan-e-ada sath liye ja tapti hui rahon se tujhe aanch na pahunche diwanon ke ashkon ki ghata sath liye ja shamil hai mera khun-e-jigar teri hina mein ye kam ho to ab khun-e-wafa sath liye ja hum jurm-e-mohabbat ki saza paenge tanha jo tujh se hui ho wo khata sath liye ja

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho tum se naaraz to main aur kisi baat pe hooñ tum magar aur kisi wajah se sharminda ho ab kahii ja ke ye maaloom hua hai mujh...ko theek rah jaata hai jo shaKHs tere jaisa ho aise haalaat men ho bhi koi hassaas to kya aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain maine chaaha bhi yahii tha ki teraa beta ho

Jawwad Sheikh

50 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

More from Sahir Ludhianvi

fan jo nadaar tak nahin pahuncha abhii meyaar tak nahin pahuncha us ne bar-waqt be-rukhi barti shauq aazaar tak nahin pahuncha aks-e-may ho ki jalwa-e-gul ho rang-e-rukhsaar tak nahin pahuncha harf-e-inkaar sar buland raha zoof-e-iqraar tak nahin pahuncha hukm-e-sarkaar kii pahunch mat pooch ahl-e-sarkaar tak nahin pahuncha adl-gaahen to door kii shay hain qatl akhbaar tak nahin pahuncha inqilaabaat-e-dahr kii buniyaad haq jo haqdaar tak nahin pahuncha vo maseeha-nafs nahin jis ka silsila-daar tak nahin pahuncha

Sahir Ludhianvi

2 likes

dekha hai zindagi ko kuchh itne qareeb se chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se ai rooh-e-asr jaag kahaan so rahi hai tu awaaz de rahe hain payambar saleeb se is rengti hayaat ka kab tak uthaaye baar beemaar ab uljhane lage hain tabeeb se har gaam par hai majma-e-ushshaq muntazir maqtal ki raah milti hai koo-e-habeeb se is tarah zindagi ne diya hai hamaara saath jaise koi nibaah raha ho raqeeb se

Sahir Ludhianvi

3 likes

saza ka haal sunaayein jazaa ki baat karen KHuda mila ho jinhen vo KHuda ki baat karen unhen pata bhi chale aur vo KHafaa bhi na hon is ehtiyaat se kya muddaa ki baat karen hamaare ahd ki tahzeeb men qaba hi nahin agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karen har ek daur ka mazhab naya KHuda laaya karen to ham bhi magar kis KHuda ki baat karen wafa-shiaar kaii hain koi haseen bhi to ho chalo phir aaj usii be-vafa ki baat karen

Sahir Ludhianvi

6 likes

mohabbat tark ki main ne garebaan si liya main ne zamaane ab to KHush ho zahar ye bhi pee liya main ne abhii zinda hooñ lekin sochta rehta hooñ khilwat men ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jee liya main ne unhen apna nahin saka magar itnaa bhi kya kam hai ki kuchh muddat haseen KHvaabon men kho kar jee liya main ne bas ab to daaman-e-dil chhod do bekar umeedo bahut dukh sah li.e main ne bahut din jee liya main ne

Sahir Ludhianvi

0 likes

sadiyon se insaan ye sunta aaya hai dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai ham ko in sasti KHushiyon ka lobh na do ham ne soch samajh kar gham apnaaya hai jhooth to qaateel thehra is ka kya rona sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai paidaish ke din se maut ki zad men hain is maqtal men kaun ha men le aaya hai awwal awwal jis dil ne barbaad kiya aaKHir aaKHir vo dil hi kaam aaya hai itne din ehsaan kiya deewaanon par jitne din logon ne saath nibhaaya hai

Sahir Ludhianvi

14 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's ghazal.