ghazalKuch Alfaaz

bastii chhod ke jaane waale achchhe lagte hain kuchh logon ko kundi taale achchhe lagte hain aam ravish se hatkar chalne waale zindabaad ulte haath se likhne waale achchhe lagte hain mere paanv nahin padte unchi dukaanon par mujh...ko redi patri waale achchhe lagte hain

Related Ghazal

apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain

Varun Anand

63 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka

Javed Akhtar

62 likes

bagair us..ko bataaye nibh aanaa padta hai ye ishq raaz hai isko chhup aanaa padta hai main apne zehan ki zid se bahut pareshaan hooñ tere khyaal ki chaukhat pe aanaa padta hai tere bagair hi achchhe the kya museebat hai ye kaisa pyaar hai har din jat aanaa padta hai

Mehshar Afridi

73 likes

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

More from Shakeel Jamali

koi bahaana koi kahaanii nahin chalegi mohabbaton men ghalat-bayaani nahin chalegi munaafiqon par vafaa ka tamgha nahin sajega KHaraab kapde pe kaamdaani nahin chalegi ha men ye duniya KHaraab samjhe ye uski marzi magar sabooton se chhedkhani nahin chalegi badon ke naksh-e-qadam pe bacche na chal sakenge puraani patri pe raajdhaani nahin chalegi agar vo apni zari ki saari pahan ke nikli to yaar logon pe sherwaani nahin chalegi vo mahfilein jo baghair ujrat ki khidmatein hain to kya vahaañ bhi ghazal puraani nahin chalegi bahut ziyaada bhi mutmain mat dikhaai dena bichhadte lamhon men shaadwaani nahin chalegi

Shakeel Jamali

10 likes

log kahte hain ki is khel men sar jaate hain ishq men itnaa khasaara hai to ghar jaate hain maut ko ham ne kabhi kuchh nahin samjha magar aaj apne bacchon ki taraf dekh ke dar jaate hain zindagi aise bhi haalaat banaa deti hai log saanson ka kafan odh ke mar jaate hain paanv men ab koi zanjeer nahin daalte ham dil jidhar theek samajhta hai udhar jaate hain kya junoon-khez masafat thii tire kooche ki aur ab yuñ hai ki KHaamosh guzar jaate hain ye mohabbat ki alaamat to nahin hai koi teraa chehra nazar aata hai jidhar jaate hain

Shakeel Jamali

5 likes

ashk peene ke li.e KHaak udaane ke li.e ab mire paas khazana hai lutaane ke li.e aisi daf'a na laga jis men zamaanat mil jaa.e mire kirdaar ko chun apne nishaane ke li.e kin zameenon pe utaaroge ab imdaad ka qahr kaun sa shahar ujaadoge basaane ke li.e main ne haathon se bujhaai hai dahakti hui aag apne bacche ke khilaune ko bachaane ke li.e ho gaii hai mirii ujadi hui duniya aabaad main use Dhoondh raha hooñ ye bataane ke li.e nafratein bechne waalon ki bhi majboori hai maal to chahiye dookaan chalaane ke li.e jee to kahtaa hai ki bistar se na utaroon kaii roz ghar men samaan to ho baith ke khaane ke li.e

Shakeel Jamali

3 likes

ulte seedhe sapne pale baithe hain sab paani men kaanta dale baithe hain ik beemaar vasiyat karne vaala hai rishte naate jeebh nikale baithe hain abhii na jaane kitna hansna rona hai abhii to hamse pahle waale baithe hain sahab-zaada pichhli raat se ghaayab hai ghar ke andar rishte waale baithe hain andar dori toot rahi hai saanson ki baahar beema karne waale baithe hain

Shakeel Jamali

9 likes

wafaadaaro'n pe aafat aa rahi hai miyaan le lo jo qeemat aa rahi hai main us se itne wa'de kar chuka hooñ mujhe is baar ghairat aa rahi hai na jaane mujh men kya dekha hai us ne mujhe us par mohabbat aa rahi hai badalta ja raha hai jhooth sach men kahaanii men sadaqat aa rahi hai mira jhagda zamaane se nahin hai mire aadhe mohabbat aa rahi hai abhii raushan hua jaata hai rastaa vo dekho ek aurat aa rahi hai mujhe us ki udaasi ne bataaya bichhad jaane ki sa'at aa rahi hai badon ke darmiyaañ baitha hua hooñ naseehat par naseehat aa rahi hai

Shakeel Jamali

7 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Shakeel Jamali.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Shakeel Jamali's ghazal.