ghazalKuch Alfaaz

bate rahoge to apna yunhi bahega lahu hue na ek to manzil na ban sakega lahu ho kis ghamand men ai lakht lakht dida-varo tumhen bhi qatil-e-mehnat-kashan kahega lahu isi tarah se agar tum ana-parast rahe khud apna rah-numa aap hi banega lahu suno tumhare gareban bhi nahin mahfuz daro tumhara bhi ik din hisab lega lahu agar na ahd kiya ham ne ek hone ka ghhanim sab ka yunhi bechta rahega lahu kabhi kabhi mire bachche bhi mujh se puchhte hain kahan tak aur tu khushk apna hi karega lahu sada kaha yahi main ne qarib-tar hai vo duur ki jis men koi hamara na pi sakega lahu bate rahoge to apna yunhi bahega lahu hue na ek to manzil na ban sakega lahu ho kis ghamand mein ai lakht lakht dida-waro tumhein bhi qatil-e-mehnat-kashan kahega lahu isi tarah se agar tum ana-parast rahe khud apna rah-numa aap hi banega lahu suno tumhaare gareban bhi nahin mahfuz daro tumhaara bhi ek din hisab lega lahu agar na ahd kiya hum ne ek hone ka ghanim sab ka yunhi bechta rahega lahu kabhi kabhi mere bachche bhi mujh se puchhte hain kahan tak aur tu khushk apna hi karega lahu sada kaha yahi main ne qarib-tar hai wo dur ki jis mein koi hamara na pi sakega lahu

Related Ghazal

ik hunar hai jo kar gaya hooñ main sab ke dil se utar gaya hooñ main kaise apni hañsi ko zabt karoon sun raha hooñ ki ghar gaya hooñ main kya bataaun ki mar nahin paata jeete-ji jab se mar gaya hooñ main ab hai bas apna saamna dar-pesh har kisi se guzar gaya hooñ main vahii naaz-o-ada vahii ghamze sar-b-sar aap par gaya hooñ main ajab ilzaam hooñ zamaane ka ki yahaañ sab ke sar gaya hooñ main kabhi KHud tak pahunch nahin paaya jab ki waan umr bhar gaya hooñ main tum se jaanaan mila hooñ jis din se be-tarah KHud se dar gaya hooñ main koo-e-jaanaan men sog barpa hai ki achaanak sudhar gaya hooñ main

Jaun Elia

51 likes

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari

Ali Zaryoun

70 likes

ham jee rahe hain koi bahaana ki.e baghairus ke baghair us ki tamannaa ki.e baghair ambaar us ka parda-e-hurmat banaa miyaan deewaar tak nahin giri parda ki.e baghair yaaraan vo jo hai miraa maseeha-e-jaan-o-dil be-had aziz hai mujhe achha ki.e baghair main bistar-e-khayaal pe leta hooñ us ke paas subh-e-azl se koi taqaza ki.e baghair us ka hai jo bhi kuchh hai miraa aur main magar vo mujh ko chahiye koi sauda ki.e baghair ye zindagi jo hai use maana bhi chahiye vaa'da ha men qubool hai ifa ki.e baghair ai qaatilon ke shahar bas itni hi arz hai main hooñ na qatl koi tamasha ki.e baghair murshid ke jhooth ki to saza be-hisaab hai tum chhodio na shahar ko sehra ki.e baghair un aangaanon men kitna sukoon o suroor tha aaraish-e-nazar tiri parwa ki.e baghair yaaraan khusa ye roz o shab-e-dil ki ab ha men sab kuchh hai khush-gawaar gawara ki.e baghair giryaa-kunaan ki fard men apna nahin hai naam ham giryaa-kun azal ke hain giryaa ki.e baghair aaKHir hain kaun log jo bakshe hi jaayenge taarikh ke haraam se tauba ki.e baghair vo sunni bachcha kaun tha jis ki jafaa ne jaun shiaa banaa diya ha men shiaa ki.e baghair ab tum kabhi na aaoge ya'ni kabhi kabhi ruksat karo mujhe koi vaa'da ki.e baghair

Jaun Elia

36 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

More from Habib Jalib

ham ne dil se tujhe sadaa maana tu badaa tha tujhe badaa maana meer'-o-'ghalib ke baa'd anees ke baa'd tujh ko maana badaa baja maana tu ki deewana-e-sadaqat tha tu ne bande ko kab KHuda maana tujh ko parwa na thii zamaane ki tu ne dil hi ka har kaha maana tujh ko KHud pe tha e'timaad itnaa KHud hi ko to na rehnuma maana ki na shab ki kabhi paziraai subh ko laaiq-e-sana maana hañs diya sath-e-zehn-e-aalam par jab kisi baat ka bura maana yuñ to sha'ir the aur bhi ai josh ham ne tujh sa na doosra maana

Habib Jalib

0 likes

us ne jab hañs ke namaskaar kiya mujh ko insaan se avtaar kiya dasht-e-ghurbat men dil-e-veeraan ne yaad jamuna ko kaii baar kiya pyaar ki baat na poochho yaaro ham ne kis kis se nahin pyaar kiya kitnii khwaabida tamannaon kous ki awaaz ne bedaar kiya ham pu jaarii hain buton ke jaalib ham ne ka'be men bhi iqaar kiya

Habib Jalib

1 likes

kahii aah ban ke lab par tira naam aa na jaa.e tujhe be-vafa kahooñ main vo maqaam aa na jaa.e zaraa zulf ko sambhalo mira dil dhadak raha hai koi aur taair-e-dil tah-e-daam aa na jaa.e jise sun ke toot jaa.e mira aarzoo bhara dil tiri anjuman se mujh ko vo payaam aa na jaa.e vo jo manzilon pe la kar kisi hum-safar ko looten unhin rahzano men teraa kahii naam aa na jaa.e isee fikr men hain ghaltan ye nizaam-e-zar ke bande jo tamaam-e-zindagi hai vo nizaam aa na jaa.e ye mah o nujoom hañs len mire aañsuon pe jaalib mira mahtaab jab tak lab-e-baam aa na jaa.e

Habib Jalib

0 likes

aag hai phaili hui kaali ghataon ki jagah bad-duaaein hain labon par ab duaon ki jagah intikhaab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil dekh kar zaagh-o-zagn ko khush-navaaon ki jagah kuchh bhi hota par na hote paara-paara jism-o-jaan raahzan hote agar un rahnumaaon ki jagah loot gaii is daur men ahl-e-qalam ki aabroo bik rahe hain ab sahafi besavaaon ki jagah kuchh to aata ham ko bhi jaañ se guzarne ka mazaa gair hote kaash jaalib aashnaon ki jagah

Habib Jalib

1 likes

phir dil se aa rahi hai sadaa us gali men chal shaayad mile ghazal ka pata us gali men chal kab se nahin hua hai koi she'r kaam ka ye she'r ki nahin hai fazaa us gali men chal vo baam o dar vo log vo rusvaaiyon ke zakham hain sab ke sab aziz juda us gali men chal us phool ke baghair bahut jee udaas hai mujh ko bhi saath le ke saba us gali men chal duniya to chahti hai yoonhi faasle rahen duniya ke mashwaron pe na ja us gali men chal be-noor o be-asar hai yahaañ ki sada-e-saaz tha us sukoot men bhi mazaa us gali men chal jaalib pukaarti hain vo shola-nawaiyaan ye sard rut ye sard hawa us gali men chal

Habib Jalib

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Habib Jalib.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Habib Jalib's ghazal.